koi itnaa pyaara kaise ho saka hai phir saare ka saara kaise ho saka hai kaise kisi ki yaad ha men zinda rakhti hai ek khayal sahaara kaise ho saka hai tujh se jab mil kar bhi udaasi kam nahin hoti tere baghair guzaara kaise ho saka hai yaar hawa se kaise aag bhadak uthatii hai lafz koi angaara kaise ho saka hai kaun zamaane-bhar ki thokren kha kar KHush hai dard kisi ko pyaara kaise ho saka hai ham bhi kaise ek hi shaKHs ke ho kar rah jaayen vo bhi sirf hamaara kaise ho saka hai kaise ho saka hai jo kuchh bhi main chaahoon bol na mere yaara kaise ho saka hai
Related Ghazal
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
More from Jawwad Sheikh
gham-e-jahaan se main ukta gaya to kya hogaa KHud apni fikr men ghulne laga to kya hogaa ye na-guzeer hai ummeed ki numoo ke li.e guzarta vaqt kahii tham gaya to kya hogaa yahii bahut hai ki ham ko sukoon se jeene de kisi ke haathon hamaara bhala to kya hogaa ye log meri KHamoshii pe mujh se naalaan hain koi ye pooche main goya hua to kya hogaa main is li.e bhi bahut mukhtalif hooñ logon se vo sochte hain ki aisa hua to kya hogaa junoon ki raah ajab hai ki paanv dharne ko zameen tak bhi nahin naqsh-e-paa to kya hogaa ye ek khauf bhi meri khushi men shaamil hai tira bhi dhyaan agar hat gaya to kya hogaa jo ho raha hai vo hota chala gaya to phir jo hone ko hai vahii ho gaya to kya hogaa
Jawwad Sheikh
9 likes
sab ko bachao KHud bhi bacho fasla rakho ab aur kuchh karo na karo fasla rakho khatra to muft men bhi nahin lena chahiye ghar se nikal ke mol na lo fasla rakho filhaal is se bachne ka hai ek raasta vo ye ki is se bach ke raho fasla rakho dushman hai aur tarah ka jang aur tarah ki aage badho na peeche hato fasla rakho
Jawwad Sheikh
7 likes
hazaar sehra the raaste men yaar kya karta jo chal pada tha to fikr-e-ghubaar kya karta kabhi jo theek se KHud ko samajh nahin paaya vo doosron pe bhala etibaar kya karta chalo ye maana ki izhaar bhi zaroori hai so ek baar kiya baar baar kya karta isee li.e to dar-e-aaina bhi vaa na kiya jo so rahe hain unhen hoshiyaar kya karta vo apne KHvaab ki tafseer KHud na kar paaya jahaan bhar pe use aashkaar kya karta agar vo karne pe aata to kuchh bhi kar jaata ye soch mat ki akela sharaar kya karta sivae ye ki vo apne bhi zakham taaza kare mire ghamon pe mira gham-gusaar kya karta bas ek phool ki khaatir bahaar maangi thii rutoon se warna main qaul-o-qaraar kya karta mira lahu hi kahaanii ka rang tha javvaad kahaani-kaar use rang-daar kya karta
Jawwad Sheikh
10 likes
na sahi aish guzaara hi sahi yaanii gar tu nahin duniya hi sahi chhodije kuchh to meraa bhi mujh men KHoon ka aakhiri qatra hi sahi ghaur to kijeye meri baaton par umr men aap se chhota hi sahi ranj ham ne bhi juda paa.e hain aap yaktaa hain to yaktaa hi sahi main bura hooñ to hooñ ab kya kijeye koi achha hai to achha hi sahi kis ko seene se lagaaun tire b'ad jaate jaate koi dhoka hi sahi kar kuchh aisa ki tujhe yaad raKHoon bhool jaane ka taqaza hi sahi tum pe kab rok thii chalte jaate meri sochon pe to pahra hi sahi vo kisi taur na hogaa meraa chalo aisa hai to aisa hi sahi surkh karne lagii har shay javvaad yaad ka rang sunhara hi sahi
Jawwad Sheikh
16 likes
nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne vaala dil men ye shor barabar nahin rahne vaala jis tarah KHaamushi lafzon men dhali jaati hai is men taaseer ka unsur nahin rahne vaala ab ye kis shakl men zaahir ho KHuda hi jaane ranj aisa hai ki andar nahin rahne vaala main use chhodna chaahoon bhi to kaise chhodun vo kisi aur ka ho kar nahin rahne vaala ghaur se dekh un aankhoñ men nazar aata hai vo samundar jo samundar nahin rahne vaala jurm vo karne ka socha hai ki bas ab ki baar koi ilzaam mire sar nahin rahne vaala main ne haalaanki bahut vaqt guzaara hai yahaañ ab main is shahar men pal bhar nahin rahne vaala maslahat lafz pe do harf na bhejoon javvaad jab mire saath muqaddar nahin rahne vaala
Jawwad Sheikh
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jawwad Sheikh.
Similar Moods
More moods that pair well with Jawwad Sheikh's ghazal.







