gham-e-jahaan se main ukta gaya to kya hogaa KHud apni fikr men ghulne laga to kya hogaa ye na-guzeer hai ummeed ki numoo ke li.e guzarta vaqt kahii tham gaya to kya hogaa yahii bahut hai ki ham ko sukoon se jeene de kisi ke haathon hamaara bhala to kya hogaa ye log meri KHamoshii pe mujh se naalaan hain koi ye pooche main goya hua to kya hogaa main is li.e bhi bahut mukhtalif hooñ logon se vo sochte hain ki aisa hua to kya hogaa junoon ki raah ajab hai ki paanv dharne ko zameen tak bhi nahin naqsh-e-paa to kya hogaa ye ek khauf bhi meri khushi men shaamil hai tira bhi dhyaan agar hat gaya to kya hogaa jo ho raha hai vo hota chala gaya to phir jo hone ko hai vahii ho gaya to kya hogaa
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Jawwad Sheikh
daad to baad men kamaayenge pahle ham sochna sikhaayenge main kahii ja nahin raha lekin aap kya mere saath aayenge koi khidki khulegi raat ga.e kaii apni muraad paayenge khul ke rone pe ikhtiyaar nahin ham koi jashn kya manaaenge hasenge teri bad-havaasi par log rastaa nahin bataaenge tum uthaoge koi ranj mira dost ahbaab haz uthaaenge ha men apni talash men mat bhej khadi faslen ujaad aayenge
Jawwad Sheikh
16 likes
dar-guzar jitna kiya hai vahii kaafi hai mujhe ab tujhe qatl bhi kar doon to muaafi hai mujhe mas'ala aise koi hal to na hogaa shaayad she'r kehna hi mire gham ki talaafi hai mujhe dafatan ik naye ehsaas ne chauka sa diya main to samjha tha ki har saans izafi hai mujhe main na kahtaa tha dawaayein nahin kaam aayengi jaanta tha tiri awaaz hi shaafi hai mujhe is se andaaza lagao ki main kis haal men hooñ gair ka dhyaan bhi ab va'da-khilaafi hai mujhe vo kahii saamne aa jaa.e to kya ho javvaad yaad hi us ki agar seena-shigaafi hai mujhe
Jawwad Sheikh
28 likes
us ne koi to dam padha hua hai jis ne dekha vo mubtala hua hai ab tire raaste se bach nikloon ik yahii raasta bacha hua hai aao taqreeb-e-roo-numaai karen paanv men ek aablaa hua hai phir vahii bahs chhed dete ho itni mushkil se raabta hua hai raat ki waardaat mat poochho Vaaqaii ek vaqiaa' hua hai lag raha hai ye narm lehje se phir tujhe koi mas'ala hua hai main kahaan aur vo faseel kahaan faasle ka hi faisla hua hai itnaa masroof ho gaya hooñ ki bas meer bhi ik taraf pada hua hai aaj kuchh bhi nahin hua javvaad haan magar ek saanehaa hua hai
Jawwad Sheikh
7 likes
meraa khazana zamaane ke haath ja na lage tujhe kisi kii kisi ko teri hawa na lage main ek jism ko chakhna to chahta hooñ magar kuchh is tarah ki mere munh ko zaika na lage ha men laga so laga khud-aziyyati ka nasha dua karo ki tumhein baddua dua na lage dua karo ki kisi ka na dil lage tumse lage to aur kisi se laga hua na lage hasad kiya ho tere rizq se kabhi maine to mujh...ko apni kamaai hui ghiza na lage ha men hi ishq kii tashheer chahiye varna pata na lagne diya jaa.e to pata na lage pada raha main kisi aur hi bakhede men bahut se qeemti jazbe kisi disha na lage banaa raha hooñ tasavvur men ek muddat se ek aisa shahar jise koii raasta na lage ha men to usse muhabbat hai aur behad hai agar use nahin lagta to kya hua na lage kise khushi nahin hoti sarahae jaane kii magar vo dost hi kya hai jo aaina na lage kabhi khabaar jo rakhne lage zabaan ka bharam vo ab bhi kya nahin lagta majeed kya na lage yahii kahunga ki javvaad bach bacha ke zaraa agar kisi ka raviya baradara na lage
Jawwad Sheikh
21 likes
na sahi aish guzaara hi sahi yaanii gar tu nahin duniya hi sahi chhodije kuchh to meraa bhi mujh men KHoon ka aakhiri qatra hi sahi ghaur to kijeye meri baaton par umr men aap se chhota hi sahi ranj ham ne bhi juda paa.e hain aap yaktaa hain to yaktaa hi sahi main bura hooñ to hooñ ab kya kijeye koi achha hai to achha hi sahi kis ko seene se lagaaun tire b'ad jaate jaate koi dhoka hi sahi kar kuchh aisa ki tujhe yaad raKHoon bhool jaane ka taqaza hi sahi tum pe kab rok thii chalte jaate meri sochon pe to pahra hi sahi vo kisi taur na hogaa meraa chalo aisa hai to aisa hi sahi surkh karne lagii har shay javvaad yaad ka rang sunhara hi sahi
Jawwad Sheikh
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jawwad Sheikh.
Similar Moods
More moods that pair well with Jawwad Sheikh's ghazal.







