ghazalKuch Alfaaz

ye rahmat ho jaa.e hampar agle saal kaash chale jaayen apne ghar agle saal haath najoomi ne dekha aur ye bola aap safal ho jaayenge par agle saal baarah maas diya hai jitna dukh tumne utni khushiyaan barase tumpar agle saal phone janamdin par hi shaayad vo kar de jal dii aa.e yaar september agle saal ham jaiso ka bachpan ye kahkar guzra le aayenge achchhe number agle saal

Related Ghazal

baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai

Tehzeeb Hafi

182 likes

bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega

Tehzeeb Hafi

174 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin

Jawwad Sheikh

50 likes

More from Tanoj Dadhich

chamchamaati car men uski bidaai ho gayi par yaqeen aata nahin hai bewafaai ho gayi park men sab dost mere raah dekhen hain meri ab to jaane do mujhe ab to padhaai ho gayi aadmi ko aur bacchon ko pata chaltaa nahin roti sabzi kab banii aur kab safaaii ho gayi aao baitho ab suno taarif meri doston jisne chhoda hai mujhe uski buraai ho gayi aakhri choti se girkar ham mare hain ishq ki ham samjhte the himalaya ki chadhaai ho gayi

Tanoj Dadhich

13 likes

kal uski aarti maine utaari magar mat poochna kaise utaari gale tak aa gayi thii baat mere so paani pee liya neeche utaari use bhi maut ne kuchh din pukaara vo jisne laash pankhe se utaari

Tanoj Dadhich

11 likes

dartaa nahin hooñ main kisi bhi imtehaan se dooñga s abhii javaab magar itminaan se laut aati hai sadaa yuñ mere jism se meri jaise ki laut aayi ho khaali makaan se usne liya gulaab magar kuchh nahin kaha niklaa nahin hai teer abhii bhi kamaan se lankesh ko haraaya tha seeta bachaai thii banta tha ghar ko lautna pushpak vimaan se KHud ka hi aasmaan hai kaafi tanoj ko jalta nahin vo aur kisi ki udaan se

Tanoj Dadhich

5 likes

kal tak jo shakhs saath mere tha chala gaya aisa laga ki aankh men tinka chala gaya milne vo aa.e aur akelaa hi aa.e hain yaanii ki catch chhoot ke chauka chala gaya main bol jab raha tha nahin rok paa.e vo so raat bhar main she'r sunaata chala gaya kamzoriyaan bataa ke use sochta hooñ main aate men paani had se ziyaada chala gaya be-fikr tha tanoj KHabar hi nahin hui vo paas aaya dil ko nikala chala gaya

Tanoj Dadhich

17 likes

koii gaali nahin deta koii gussa nahin hota to main mashhoor to hota magar itnaa nahin hota ham us..ko ghar nahin kahte bhale k itnaa badaa hi ho jahaan tulsi nahin hoti jahaan matka nahin hota bula lo sab bade shaair magar ik do naye rakhna shagun poora nahin hota agar sikka nahin hota zamaana hai naya ab vo muhabbat kar nahin saktaa vo jisse ek bhi rupya kabhi kharcha nahin hota tanoj is baar to laao nayaapan she'r men apne ki bas ik naam likhne se koii maqta nahin hota

Tanoj Dadhich

12 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tanoj Dadhich.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tanoj Dadhich's ghazal.