baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Tehzeeb Hafi
ashk zaaeaa ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mire gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh pe kitne saanhe guzre par in aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ki meraa hum-safar rota na tha main ne us ke vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mire kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi us se tha magar itnaa nahin tab main us ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
48 likes
cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main aankh khulne pe bhi bedaar nahin hota main KHvaab karna ho safar karna ho ya rona ho mujh men khoobi hai bezaar nahin hota men ab bhala apne li.e banna sanwarna kaisa KHud se milnaa ho to taiyyaar nahin hota main kaun aayega bhala meri ayaadat ke li.e bas isee khauf se beemaar nahin hota main manzil-e-ishq pe niklaa to kaha raaste ne har kisi ke li.e hamvaar nahin hota main teri tasveer se taskin nahin hoti mujhe teri awaaz se sarshaar nahin hota main log kahte hain main baarish ki tarah hooñ haafi akshar auqaat lagaataar nahin hota main
Tehzeeb Hafi
35 likes
ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
44 likes
shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga
Tehzeeb Hafi
84 likes
kya khabar us raushni men aur kya raushan hua jab vo in haathon se pahli martaba raushan hua vo mere seene se lagkar jis..ko roee kaun tha kiske bujhne pe main aaj uski jagah raushan hua vaise main in raaston aur taakhchon ka tha nahin phir bhi tune jis jagah par rakh diya raushan hua mere jaane par sabhi roye bahut roye magar ik diya meri tavqko se siva raushan hua tere apne teri kirnon ko tarsate hai yahaañ tu ye kin galiyon men kin logon men ja raushan hua maine poocha tha ki mujh jaisa bhi koi aur hai door jungle men kahii ik maqbara raushan hua jaane kaisi aag men vo jal raha hai in dinon usne munh ponchha to meraa toliyaa raushan hua koi uski raushni ke shar se kab mahfooz hai meri aañkhen bujh gaii aur koylaa raushan hua
Tehzeeb Hafi
57 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







