ghazalKuch Alfaaz

ashk zaaeaa ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mire gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh pe kitne saanhe guzre par in aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ki meraa hum-safar rota na tha main ne us ke vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mire kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi us se tha magar itnaa nahin tab main us ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha

Tehzeeb Hafi48 Likes

Related Ghazal

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

More from Tehzeeb Hafi

jab us ki tasveer banaya karta tha kamra rangon se bhar jaaya karta tha ped mujhe hasrat se dekha karte the main jungle men paani laaya karta tha thak jaata tha baadal saaya karte karte aur phir main baadal pe saaya karta tha baitha rehta tha saahil pe saara din dariyaa mujh se jaan chhudaaya karta tha bint-e-sehra rootha karti thii mujh se main sehra se ret churaaya karta tha

Tehzeeb Hafi

24 likes

ik tira hijr daaimi hai mujhe warna har cheez arjee hai mujhe ek saaya mire taakub men ek awaaz dhundti hai mujhe meri aankhoñ pe do mukaddas haath ye andhera bhi raushni hai mujhe main sukhun men hooñ us jagah ki jahaan saans lena bhi shayari hai mujhe in parindon se bolna seekha ped se KHaamushi mili hai mujhe main use kab ka bhool-bhaal chuka zindagi hai ki ro rahi hai mujhe main ki kaaghaz ki ek kashtii hooñ pahli baarish hi aakhiri hai mujhe

Tehzeeb Hafi

25 likes

jaane waale se raabta rah jaa.e ghar ki deewaar par diya rah jaa.e ik nazar jo bhi dekh le tujh ko vo tire KHvaab dekhta rah jaa.e itni girhen lagii hain is dil par koi khole to kholta rah jaa.e koi kamre men aag taapta ho koi baarish men bheegta rah jaa.e neend aisi ki raat kam pad jaa.e KHvaab aisa ki munh khula rah jaa.e jheel saif-ul-mulook par jaaun aur kamre men camera rah jaa.e

Tehzeeb Hafi

38 likes

tu ne kya qindeel jala dii shehzaa dii surkh hui jaati hai waa dii shehzaa dii sheesh-mahal ko saaf kiya tire kehne par aainon se gard hata dii shehzaa dii ab to khwaab-kade se baahar paanv rakh laut ga.e hai sab fariyaa dii shehzaa dii tere hi kehne par ek sipaahi ne apne ghar ko aag laga dii shehzaa dii main tere dushman lashkar ka shehzaada kaise mumkin hai ye shaa dii shehzaa dii

Tehzeeb Hafi

16 likes

KHvaabon ko aankhoñ se minha karti hai neend hamesha mujhse dhokha karti hai us ladki se bas ab itnaa rishta hai mil jaa.e to baat wagaira karti hai aawaazon ka habs agar badh jaata hai khaamoshi mujh men darwaaza karti hai baarish mere rab ki aisi niyamat hai rone men aasaani paida karti hai sach poochho to haafi ye tanhaaii bhi jeene ka samaan muhayya karti hai

Tehzeeb Hafi

44 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.