ghazalKuch Alfaaz

KHvaabon ko aankhoñ se minha karti hai neend hamesha mujhse dhokha karti hai us ladki se bas ab itnaa rishta hai mil jaa.e to baat wagaira karti hai aawaazon ka habs agar badh jaata hai khaamoshi mujh men darwaaza karti hai baarish mere rab ki aisi niyamat hai rone men aasaani paida karti hai sach poochho to haafi ye tanhaaii bhi jeene ka samaan muhayya karti hai

Tehzeeb Hafi44 Likes

Related Ghazal

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

aankhoñ men raha dil men utar kar nahin dekha kashtii ke musaafir ne samundar nahin dekha be-waqt agar jaaunga sab chaunk padenge ik umr hui din men kabhi ghar nahin dekha jis din se chala hooñ mirii manzil pe nazar hai aankhoñ ne kabhi meel ka patthar nahin dekha ye phool mujhe koi viraasat men mile hain tum ne mira kaanton bhara bistar nahin dekha yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine phoolon men chhupaaya hua khanjar nahin dekha mahboob ka ghar ho ki buzurgon ki zameenen jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha khat aisa likha hai ki nageene se jade hain vo haath ki jis ne koi zevar nahin dekha patthar mujhe kahtaa hai mira chaahne vaala main mom hooñ us ne mujhe choo kar nahin dekha

Bashir Badr

38 likes

samandar ulta seedha bolta hai saleeqe se to pyaasa bolta hai yahaan to uskaa paisa bolta hai wahaan dekhenge vo kya bolta hai tumhaare saath udaane bolti hai hamaare saath pinjra bolta hai nigaahen karti rah jaati hain hijje vo jab chehre se imlaa bolta hai main chup rehta hooñ itnaa bol kar bhi tu chup rah kar bhi k itnaa bolta hai main har shayar men ye bhi dekhta hooñ bina mashq ke vo kya bolta hai

Fahmi Badayuni

40 likes

koi ummeed bar nahin aati koi soorat nazar nahin aati maut ka ek din muayyan hai neend kyun raat bhar nahin aati aage aati thii haal-e-dil pe hañsi ab kisi baat par nahin aati jaanta hooñ savaab-e-ta'at-o-zohd par tabeeyat idhar nahin aati hai kuchh aisi hi baat jo chup hooñ warna kya baat kar nahin aati kyun na cheekhoon ki yaad karte hain meri awaaz gar nahin aati daag-e-dil gar nazar nahin aata boo bhi ai chaaragar nahin aati ham vahaañ hain jahaan se ham ko bhi kuchh hamaari khabar nahin aati marte hain aarzoo men marne ki maut aati hai par nahin aati kaaba kis munh se jaaoge ghalib sharm tum ko magar nahin aati

Mirza Ghalib

30 likes

More from Tehzeeb Hafi

ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha

Tehzeeb Hafi

44 likes

ik haveli hooñ us ka dar bhi hooñ KHud hi aangan KHud hi shajar bhi hooñ apni masti men bahta dariyaa hooñ main kinaara bhi hooñ bhanwar bhi hooñ aasmaañ aur zameen ki wus'at dekh main idhar bhi hooñ aur udhar bhi hooñ KHud hi main KHud ko likh raha hooñ khat aur main apna nama-bar bhi hooñ dastaan hooñ main ik taveel magar tu jo sun le to mukhtasar bhi hooñ ek faldar ped hooñ lekin vaqt aane pe be-samar bhi hooñ

Tehzeeb Hafi

19 likes

kitnii raatein kaat chuka hooñ par vo vasl ka din is dariyaa se pahle kitne jungle aate hain ha men to neend bhi aati hai to aadhi aati hai vo kaise hain jinko KHvaab mukammal aate hain is raaste par ped bhi aate hain usne poocha jal kar KHushboo dene waale sandal aate hain kaun hai jo is dil men khaamoshi se utarega dekho is awaaz pe kitne paagal aate hain ik se bharr kar ek sawaari asp-o-feel bhi hai jaane kyuuñ ham teri zaanib paidal aate hain

Tehzeeb Hafi

48 likes

ye ek baat samajhne men raat ho gaii hai main us se jeet gaya hooñ ki maat ho gaii hai main ab ke saal parindon ka din manaaunga mirii qareeb ke jungle se baat ho gaii hai bichhad ke tujh se na KHush rah sakunga socha tha tiri judaai hi vajh-e-nashaat ho gaii hai badan men ek taraf din julu' main ne kiya badan ke doosre hisse men raat ho gaii hai main junglon ki taraf chal pada hooñ chhod ke ghar ye kya ki ghar ki udaasi bhi saath ho gaii hai rahega yaad madine se waapsi ka safar main nazm likhne laga tha ki naat ho gaii hai

Tehzeeb Hafi

30 likes

ik tira hijr daaimi hai mujhe warna har cheez arjee hai mujhe ek saaya mire taakub men ek awaaz dhundti hai mujhe meri aankhoñ pe do mukaddas haath ye andhera bhi raushni hai mujhe main sukhun men hooñ us jagah ki jahaan saans lena bhi shayari hai mujhe in parindon se bolna seekha ped se KHaamushi mili hai mujhe main use kab ka bhool-bhaal chuka zindagi hai ki ro rahi hai mujhe main ki kaaghaz ki ek kashtii hooñ pahli baarish hi aakhiri hai mujhe

Tehzeeb Hafi

25 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.