ghazalKuch Alfaaz

koi ummeed bar nahin aati koi soorat nazar nahin aati maut ka ek din muayyan hai neend kyun raat bhar nahin aati aage aati thii haal-e-dil pe hañsi ab kisi baat par nahin aati jaanta hooñ savaab-e-ta'at-o-zohd par tabeeyat idhar nahin aati hai kuchh aisi hi baat jo chup hooñ warna kya baat kar nahin aati kyun na cheekhoon ki yaad karte hain meri awaaz gar nahin aati daag-e-dil gar nazar nahin aata boo bhi ai chaaragar nahin aati ham vahaañ hain jahaan se ham ko bhi kuchh hamaari khabar nahin aati marte hain aarzoo men marne ki maut aati hai par nahin aati kaaba kis munh se jaaoge ghalib sharm tum ko magar nahin aati

Mirza Ghalib30 Likes

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

koh ke hon baar-e-khaatir gar sadaa ho jaaie be-takalluf ai sharaar-e-jasta kya ho jaaie beza-aasa nang-e-baal-o-par hai ye kunj-e-qafas az-sar-e-nau zindagi ho gar rihaa ho jaaie wus'at-e-mashrab niyaaz-e-kulfat-e-vahshat asad yak-bayaabaan saaya-e-baal-e-huma ho jaaie

Mirza Ghalib

0 likes

phir kuchh ik dil ko be-qaraari hai seena juya-e-zakhm-e-kaari hai phir jigar khodne laga nakhun aamd-e-fasl-e-laala-kaari hai qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz phir vahii parda-e-amaari hai chashm dallaal-e-jins-e-ruswaai dil khareedaar-e-zauq-e-khwari hai vahii sad-rang naala-farsaai vahii sad-gona ashk-baari hai dil hawa-e-khiraam-e-naaz se phir mahsharistaan-e-sitaan-e-beqaraari hai jalwa phir arz-e-naaz karta hai roz bazaar-e-jaan-sipaari hai phir usii be-vafa pe marte hain phir vahii zindagi hamaari hai phir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz garm-bazaar-e-faujdaari hai ho raha hai jahaan men andher zulf ki phir sirishta-daari hai phir diya paara-e-jigar ne sawaal ek fariyaad o aah-o-zaari hai phir hue hain gawaahe-e-ishq talab ashk-baari ka hukm-jaari hai dil o mizgaan ka jo muqaddama tha aaj phir us ki roo-bakaari hai be-khu dii be-sabab nahin ghalib kuchh to hai jis ki parda-daari hai

Mirza Ghalib

0 likes

ghar hamaara jo na rote bhi to veeraan hota bahar gar bahar na hota to biyaabaan hota tangi-e-dil ka gilaa kya ye vo kaafir-dil hai ki agar tang na hota to pareshaan hota baad yak-umr-e-waraa baar to deta baare kaash rizwan hi dar-e-yaar ka darbaan hota

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.