ghazalKuch Alfaaz

samandar ulta seedha bolta hai saleeqe se to pyaasa bolta hai yahaan to uskaa paisa bolta hai wahaan dekhenge vo kya bolta hai tumhaare saath udaane bolti hai hamaare saath pinjra bolta hai nigaahen karti rah jaati hain hijje vo jab chehre se imlaa bolta hai main chup rehta hooñ itnaa bol kar bhi tu chup rah kar bhi k itnaa bolta hai main har shayar men ye bhi dekhta hooñ bina mashq ke vo kya bolta hai

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

aankhoñ men raha dil men utar kar nahin dekha kashtii ke musaafir ne samundar nahin dekha be-waqt agar jaaunga sab chaunk padenge ik umr hui din men kabhi ghar nahin dekha jis din se chala hooñ mirii manzil pe nazar hai aankhoñ ne kabhi meel ka patthar nahin dekha ye phool mujhe koi viraasat men mile hain tum ne mira kaanton bhara bistar nahin dekha yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine phoolon men chhupaaya hua khanjar nahin dekha mahboob ka ghar ho ki buzurgon ki zameenen jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha khat aisa likha hai ki nageene se jade hain vo haath ki jis ne koi zevar nahin dekha patthar mujhe kahtaa hai mira chaahne vaala main mom hooñ us ne mujhe choo kar nahin dekha

Bashir Badr

38 likes

sirf khanjar hi nahin aankhoñ men paani chahiye ai KHuda dushman bhi mujh ko khaandaani chahiye shahar ki saari alif-lailaaein boodhi ho chuki shahzaade ko koi taaza kahaanii chahiye main ne ai suraj tujhe pooja nahin samjha to hai mere hisse men bhi thodii dhoop aani chahiye meri qeemat kaun de saka hai is bazaar men tum zulekha ho tumhein qeemat lagaani chahiye zindagi hai ik safar aur zindagi ki raah men zindagi bhi aa.e to thokar lagaani chahiye main ne apni khushk aankhoñ se lahu chhalaka diya ik samundar kah raha tha mujh ko paani chahiye

Rahat Indori

38 likes

mujhse mat poochho ki mujh...ko aur kya kya yaad hai vo mere nazdeek aaya tha bas itnaa yaad hai yuñ to dashte-dil men kitnon ne qadam rakhe magar bhool jaane par bhi ek naqsh-e-kaf-e-paa yaad hai us badan ki ghaatiyan tak naqsh hain dil par mere kohsaaron se samandar tak ko dariyaa yaad hai mujhse vo kaafir musalmaan to na ho paaya kabhi lekin us..ko vo tarju men ke saath kalmaa yaad hai

Tehzeeb Hafi

73 likes

safar se laut jaana chahta hai parinda aashiyana chahta hai koi school ki ghanti baja de ye bachcha muskurana chahta hai use rishte thama deti hai duniya jo do paise kamaana chahta hai yahaañ saanson ke laale pad rahe hain vo paagal zahar khaana chahta hai jise bhi doobna ho doob jaa.e samundar sookh jaana chahta hai hamaara haq daba rakha hai jis ne suna hai haj ko jaana chahta hai

Shakeel Jamali

19 likes

More from Fahmi Badayuni

seharaaon ne maanga paani daryaon par barsa paani buni yaaden kamzor nahin theen deewaron se aaya paani aaKHir kis kis neem ki jad men kab tak daalen meetha paani chat ka haal bataa deta hai parnaale se girta paani fikr-o-masaail yaad-e-jaanaan garm hawaaein thanda paani pyaase bacche khel rahe hain machhlii machhlii kitna paani

Fahmi Badayuni

11 likes

parinde sah men sah men ud rahe hain barabar men farishte ud rahe hain khushi se kab ye tinke ud rahe hain hawa ke dar ke maare ud rahe hain kahii koi kamaan taane hue hai kabootar aadhe-tirche ud rahe hain tumhaara khat hawa men ud raha hai ta'aqub men lifaafe ud rahe hain bahut kahti rahi aandhi se chidiya ki pahli baar bacche ud rahe hain shajar ke sabz patton ki hawa se fazaa men khushk patte ud rahe hain

Fahmi Badayuni

13 likes

vo kahii tha kahii dikhaai diya main jahaan tha wahin dikhaai diya KHvaab men ik haseen dikhaai diya vo bhi parda-nasheen dikhaai diya jab talak tu nahin dikhaai diya ghar kahii ka kahii dikhaai diya roz chehre ne aaine badle jo nahin tha nahin dikhaai diya bad-maza kyun hain aasmaañ waale main zameen tha zameen dikhaai diya us ko le kar chali gaii gaadi phir ha men kuchh nahin dikhaai diya

Fahmi Badayuni

13 likes

chaarasaazon ke bas ki baat nahin main davaaon ke bas ki baat nahin chahta hoon main deemakon se najaat jo kitaabon ke bas ki baat nahin teri KHushboo ko qaid men rakhna itrdaanon ke bas ki baat nahin khatm kar de azaab kabron ka taajmahalon ke bas ki baat nahin aansuon men jo jhilmilahat hai vo sitaaron ke bas ki baat nahin aisa lagta hai ab teraa deedaar sirf aankhoñ ke bas ki baat nahin

Fahmi Badayuni

30 likes

dil jab khaali ho jaata hai aur bhi bhari ho jaata hai jab tu saaqi ho jaata hai ishq sharaabi ho jaata hai main jab tak kuchh tay karta hoon sab kuchh maazi ho jaata hai uske chhoote hi qismat ka taalaa chaabhi ho jaata hai pahle tu kaafi hota tha ab naakaafi ho jaata hai

Fahmi Badayuni

29 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Fahmi Badayuni.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Fahmi Badayuni's ghazal.