parinde sah men sah men ud rahe hain barabar men farishte ud rahe hain khushi se kab ye tinke ud rahe hain hawa ke dar ke maare ud rahe hain kahii koi kamaan taane hue hai kabootar aadhe-tirche ud rahe hain tumhaara khat hawa men ud raha hai ta'aqub men lifaafe ud rahe hain bahut kahti rahi aandhi se chidiya ki pahli baar bacche ud rahe hain shajar ke sabz patton ki hawa se fazaa men khushk patte ud rahe hain
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
More from Fahmi Badayuni
seharaaon ne maanga paani daryaon par barsa paani buni yaaden kamzor nahin theen deewaron se aaya paani aaKHir kis kis neem ki jad men kab tak daalen meetha paani chat ka haal bataa deta hai parnaale se girta paani fikr-o-masaail yaad-e-jaanaan garm hawaaein thanda paani pyaase bacche khel rahe hain machhlii machhlii kitna paani
Fahmi Badayuni
11 likes
maut ki samt jaan chalti rahi zindagi ki dukaan chalti rahi saare kirdaar so ga.e thak kar bas tiri daastaan chalti rahi main larzata raha hadf ban kar mask-e-teer-o-kamaan chalti rahi ulti seedhi charaaghh sunte rahe aur hawa ki zabaan chalti rahi do hi mausam the dhoop ya baarish chhatriyon ki dukaan chalti rahi jism lambe the chadaren chhoti raat bhar kheench-taan chalti rahi par nikalte rahe bikharte rahe unchi neechi udaan chalti rahi
Fahmi Badayuni
7 likes
ghar ban aanaa bahot zaroori hai qaidkhaanaa bahot zaroori hai phool khilne se phal utarte hain muskurana bahot zaroori hai mehfileen be-sabab nahin jamti ek fas aanaa bahot zaroori hai ab ke darwaaza KHud sajaaya hai teraa aanaa bahot zaroori hai aasmaan men zameen waalo ka ik thik aanaa bahot zaroori hai ab ke vo be-sabab hi rootha hai ab manana bahot zaroori hai kitne jinda hain ham pata to chala zahar kh aanaa bahot zaroori hai sar uthaane ke vaaste fahmi sar jhuk aanaa bahut zaroori hai
Fahmi Badayuni
29 likes
chaarasaazon ke bas ki baat nahin main davaaon ke bas ki baat nahin chahta hoon main deemakon se najaat jo kitaabon ke bas ki baat nahin teri KHushboo ko qaid men rakhna itrdaanon ke bas ki baat nahin khatm kar de azaab kabron ka taajmahalon ke bas ki baat nahin aansuon men jo jhilmilahat hai vo sitaaron ke bas ki baat nahin aisa lagta hai ab teraa deedaar sirf aankhoñ ke bas ki baat nahin
Fahmi Badayuni
30 likes
namak ki roz maalish kar rahe hain hamaare zakham varzish kar rahe hain suno logon ko ye shak ho gaya hai ki ham jeene ki saazish kar rahe hain hamaari pyaas ko raani banaa len kaii dariyaa ye koshish kar rahe hain mire sehra se jo baadal uthe the kisi dariyaa pe baarish kar rahe hain ye sab paani ki khaali bottlein hain jinhen ham nazr-e-aatish kar rahe hain abhii chamke nahin ghalib ke joote abhii naqqaad polish kar rahe hain tiri tasveer pankha mez muflar mire kamre men gardish kar rahe hain
Fahmi Badayuni
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Fahmi Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Fahmi Badayuni's ghazal.







