ghazalKuch Alfaaz

seharaaon ne maanga paani daryaon par barsa paani buni yaaden kamzor nahin theen deewaron se aaya paani aaKHir kis kis neem ki jad men kab tak daalen meetha paani chat ka haal bataa deta hai parnaale se girta paani fikr-o-masaail yaad-e-jaanaan garm hawaaein thanda paani pyaase bacche khel rahe hain machhlii machhlii kitna paani

Related Ghazal

paani ki chot chot hai kacche ghadoon se pooch kam umr men biyaahi gaii ladkiyon se pooch kis kis se tere baare men poocha nahin bataa ja daakiyon se pooch ja conductoron se pooch ye hijr kaise kaatta hai aadmi ki umr nadiyon se katne waale bade parvaton se pooch kaise juda kiya hai use kaise KHush rahen barase baghair jaate hue baadlon se pooch

Rishabh Sharma

21 likes

tum apna ranj-o-gham apni pareshaani mujhe de do tumhein gham ki qasam is dil ki veeraani mujhe de do ye maana main kisi qaabil nahin hooñ in nigaahon men bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do main dekhooñ to sahi duniya tumhein kaise sataati hai koi din ke li.e apni nigahbaani mujhe de do vo dil jo main ne maanga tha magar ghairoon ne paaya hai badi shay hai agar us ki pashemaani mujhe de do

Sahir Ludhianvi

19 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

man jis ka maula hota hai vo bilkul mujh sa hota hai aañkhen hans kar pooch rahi hain neend aane se kya hota hai miTTi ki izzat hoti hai paani ka charcha hota hai jaanta hooñ mansoor ko bhi main apne hi ghar ka hota hai achchhii ladki zid nahin karte dekho ishq bura hota hai vehshat ka ik gur hai jis men qais apna bachcha hota hai baaz-auqaat mujhe duniya par duniya ka bhi shubh hota hai tum mujh ko apna kahte ho kah lene se kya hota hai

Ali Zaryoun

26 likes

ye shokhiyaan ye jawaani kahaan se laayein ham tumhaare husn ka saani kahaan se laayein ham mohabbatein vo puraani kahaan se laayein ham ruki nadi men ravaani kahaan se laayein ham hamaari aankh hai paivast ek sehra men ab aisi aankh men paani kahaan se laayein ham har ek lafz ke maani talashte ho tum har ek lafz ka maani kahaan se laayein ham chalo bataa den zamaane ko apne baare men ki roz jhooti kahaanii kahaan se laayein ham

Varun Anand

18 likes

More from Fahmi Badayuni

chaarasaazon ke bas ki baat nahin main davaaon ke bas ki baat nahin chahta hoon main deemakon se najaat jo kitaabon ke bas ki baat nahin teri KHushboo ko qaid men rakhna itrdaanon ke bas ki baat nahin khatm kar de azaab kabron ka taajmahalon ke bas ki baat nahin aansuon men jo jhilmilahat hai vo sitaaron ke bas ki baat nahin aisa lagta hai ab teraa deedaar sirf aankhoñ ke bas ki baat nahin

Fahmi Badayuni

30 likes

parinde sah men sah men ud rahe hain barabar men farishte ud rahe hain khushi se kab ye tinke ud rahe hain hawa ke dar ke maare ud rahe hain kahii koi kamaan taane hue hai kabootar aadhe-tirche ud rahe hain tumhaara khat hawa men ud raha hai ta'aqub men lifaafe ud rahe hain bahut kahti rahi aandhi se chidiya ki pahli baar bacche ud rahe hain shajar ke sabz patton ki hawa se fazaa men khushk patte ud rahe hain

Fahmi Badayuni

13 likes

chalti saanson ko jaam karne laga vo nazar se kalaam karne laga raat farhaad KHvaab men aaya aur farsi salaam karne laga phir main zahreeli kaar-khaano men zinda rahne ka kaam karne laga saaf inkaar kar nahin paaya vo mira ehtiraam karne laga leila ghar men silaai karne lagii qais dilli men kaam karne laga hijr ke maal se dil-e-naadaañ vasl ka intizaam karne laga

Fahmi Badayuni

16 likes

jab reetile ho jaate hain parvat teele ho jaate hain tode jaate hain jo sheeshe vo nokiile ho jaate hain baagh dhuen men rehta hai to phal zahreeli ho jaate hain naadaari men aaghoshon ke bandhan dhīle ho jaate hain phoolon ko surkhi dene men patte peele ho jaate hain

Fahmi Badayuni

9 likes

jaahilon ko salaam karna hai aur phir jhoot-moot darna hai kaash vo raaste men mil jaa.e mujh ko munh fer kar guzarna hai poochhti hai sada-e-baal-o-par kya zameen par nahin utarna hai sochna kuchh nahin ha men filhaal un se koi bhi baat karna hai bhook se dagmaga rahe hain paanv aur bazaar se guzarna hai

Fahmi Badayuni

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Fahmi Badayuni.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Fahmi Badayuni's ghazal.