ghazalKuch Alfaaz

paani ki chot chot hai kacche ghadoon se pooch kam umr men biyaahi gaii ladkiyon se pooch kis kis se tere baare men poocha nahin bataa ja daakiyon se pooch ja conductoron se pooch ye hijr kaise kaatta hai aadmi ki umr nadiyon se katne waale bade parvaton se pooch kaise juda kiya hai use kaise KHush rahen barase baghair jaate hue baadlon se pooch

Related Ghazal

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

More from Rishabh Sharma

udaas ladkiyon se raabta nibhaata hooñ main ek phool hooñ jo titliyan bachaata hooñ jee main hi ishq men haare huoon ka murshid hooñ jee main hi har sadi men qais ban ke aata hooñ sataai hoti hain jo aapke samandar ki main aisi machliyon ke saath gote khaata hooñ kisi ke vaaste kaañte nahin bichaata main magar yuñ bhi nahin ke kaanton ko hataata hooñ main mausami hañsi ka maara hooñ ki koi din main saal bhar men koi din hi muskurata hooñ badan bhi aate hain aur hichakiyaañ bhi aati hain main jinko bhool gaya unko yaad aata hooñ nibhaane jaisa to kuchh bhi nahin hai us men magar vo mar na jaa.e kahii isliye nibhaata hooñ

Rishabh Sharma

19 likes

saara samaan li.e ghar se nikal aayi hai phone par phone lagati hui tanhaaii hai yaad aane lage hain log mujhe guzre hue dost kya tune meri jhoothi qasam khaai hai apni duniya men magan rahna ise kahte hain ik plaster jhadi deewaar pe jo kaai hai baat jo dil pe lagii hai vo koi baat nahin sar ke u uupar se gaii baat men gehraai hai uske pahluu men bhala sochta hooñ kya kya main KHvaab men aa gaya hooñ neend nahin aayi hai

Rishabh Sharma

18 likes

jo ki hote hue aazaar bahut hota hai baad hone ke mazedaar bahut hota hai din badlne ke li.e khudkushi karne ke li.e ek hi shaKHs ka inkaar bahut hota hai bhaagne waale ko duniya bhi bahut chhoti hai ghoomne waale ko bazaar bahut hota hai jisne bheja hai tumhein ja ke use kehna tum laakh pyaaron men bhi saalar bahut hota hai jang har cheez ko hathiyaar banaa deti hai bacche ke haath men parkaar bahut hota hai chat se chat waalon men deewaar khadi karne ko unke bacchon men hua pyaar bahut hota hai

Rishabh Sharma

18 likes

doli utha ke le ga.e mahlon ke baadshaah sadkon se dekhte rahe sadkon ke baadshaah ummeed ki kiran men har ik khet jal ga.e salfaas kha ke mar ga.e kheton ke baadshaah main doosri ghazal ki taraf chal diya to dost pichhli bulaati rah gaii ghazalon ke baadshaah aankhoñ ki takht-poshi to beenaai le gaii aañsu banenge dekhiyo palkon ke baadshaah

Rishabh Sharma

15 likes

kya dost muhabbat ka niyam kuchh nahin hota kha lete hain sab jhoothi kasam kuchh nahin hota vo parda nasheen poochhti rahtii hai mujhe roz kya waqai men agla janam kuchh nahin hota parvat ke muhaane pe khada soch raha hoon kisne kaha tha ek qadam kuchh nahin hota aur waaqya mashhoor tha jis ped ko lekarus ped pe likkha tha bharam kuchh nahin hota vo raushni ke din the rishabh sharma tere saath jab tu ha men samjhaata tha gham kuchh nahin hota

Rishabh Sharma

18 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rishabh Sharma.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rishabh Sharma's ghazal.