tum apna ranj-o-gham apni pareshaani mujhe de do tumhein gham ki qasam is dil ki veeraani mujhe de do ye maana main kisi qaabil nahin hooñ in nigaahon men bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do main dekhooñ to sahi duniya tumhein kaise sataati hai koi din ke li.e apni nigahbaani mujhe de do vo dil jo main ne maanga tha magar ghairoon ne paaya hai badi shay hai agar us ki pashemaani mujhe de do
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
More from Sahir Ludhianvi
fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha
Sahir Ludhianvi
2 likes
sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai
Sahir Ludhianvi
14 likes
door rah kar na karo baat qareeb aa jaao yaad rah jaayegi ye raat qareeb aa jaao ek muddat se tamannaa thii tumhein choone ki aaj bas men nahin jazbaat qareeb aa jaao sard jhonkon se bhadakte hain badan men shole jaan le legi ye barsaat qareeb aa jaao is qadar ham se jhijakne ki zaroorat kya hai zindagi bhar ka hai ab saath qareeb aa jaao
Sahir Ludhianvi
7 likes
bhule se mohabbat kar baitha naadaan tha bechaara dil hi to hai har dil se KHataa ho jaati hai bigdo na khudaara dil hi to hai is tarah nigaahen mat phero aisa na ho dhadkan ruk jaa.e seene men koi patthar to nahin ehsaas ka maara dil hi to hai jazbaat bhi hindu hote hain chaahat bhi musalmaan hoti hai duniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara dil hi to hai bedaad-garon ki thokar se sab KHvaab suhaane choor hue ab dil ka sahaara gham hi to hai ab gham ka sahaara dil hi to hai
Sahir Ludhianvi
4 likes
ab aayen ya na aayen idhar poochte chalo kya chahti hai un ki nazar poochte chalo ham se agar hai tark-e-taalluq to kya hua yaaro koi to un ki khabar poochte chalo jo KHud ko kah rahe hain ki manzil-shanaas hain un ko bhi kya khabar hai magar poochte chalo kis manzil-e-muraad ki jaanib ravaan hain ham ai rah-ravaan-e-khaak-basar poochte chalo
Sahir Ludhianvi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.







