ghazalKuch Alfaaz

door rah kar na karo baat qareeb aa jaao yaad rah jaayegi ye raat qareeb aa jaao ek muddat se tamannaa thii tumhein choone ki aaj bas men nahin jazbaat qareeb aa jaao sard jhonkon se bhadakte hain badan men shole jaan le legi ye barsaat qareeb aa jaao is qadar ham se jhijakne ki zaroorat kya hai zindagi bhar ka hai ab saath qareeb aa jaao

Related Ghazal

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare

Kumar Vishwas

56 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

More from Sahir Ludhianvi

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Sahir Ludhianvi

14 likes

tiri duniya men jeene se to behtar hai ki mar jaayen vahii aañsu vahii aahen vahii gham hai jidhar jaayen koi to aisa ghar hota jahaan se pyaar mil jaata vahii begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen are o aasmaañ waale bataa is men bura kya hai khushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen

Sahir Ludhianvi

7 likes

fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

2 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se ai rooh-e-asr jaag kahaan so rahi hai tu awaaz de rahe hain payambar saleeb se is rengti hayaat ka kab tak uthaaye baar beemaar ab uljhane lage hain tabeeb se har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir maqtal ki raah milti hai koo-e-habeeb se is tarah zindagi ne diya hai hamaara saath jaise koi nibaah raha ho raqeeb se

Sahir Ludhianvi

3 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itnaa qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se kehne ko dil ki baat jinhen dhoondte the ham mehfil men aa ga.e hain vo apne naseeb se neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar qeemat nahin chukaai gaii ik gareeb se teri vafaa ki laash pe la main hi daal doon resham ka ye kafan jo mila hai raqeeb se

Sahir Ludhianvi

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.