ghazalKuch Alfaaz

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Related Ghazal

rooh jism ka thaur thikaana chaltaa rehta hai jeena marna khona paana chaltaa rehta hai sukh dukh waali chadar ghatti badhti rahtii hai maula teraa taana waana chaltaa rehta hai ishq karo to jeete jee mar jaana padta hai mar kar bhi lekin jurmaana chaltaa rehta hai jin nazaron ne kaam dilaayaa ghazlein kehne ka aaj talak unko nazraana chaltaa rehta hai

Kumar Vishwas

28 likes

ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke li.e aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke li.e aa kuchh to mire pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke li.e aa pahle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to rasm-o-rah-e-duniya hi nibhaane ke li.e aa kis kis ko bataaenge judaai ka sabab ham tu mujh se KHafaa hai to zamaane ke li.e aa ik umr se hooñ lazzat-e-giryaa se bhi mahroom ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke li.e aa ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain ummeedein ye aakhiri shamaein bhi bujhaane ke li.e aa

Ahmad Faraz

29 likes

paraai aag pe roti nahin banaoonga main bheeg jaaunga chhatri nahin banaoonga agar KHuda ne banaane ka ikhtiyaar diya alam banaoonga barchi nahin banaoonga fareb de ke tira jism jeet luun lekin main ped kaat ke kashtii nahin banaoonga gali se koi bhi guzre to chaunk uthata hooñ naye makaan men khidki nahin banaoonga main dushmanon se agar jang jeet bhi jaaun to un ki auratein qaai dii nahin banaoonga tumhein pata to chale be-zabaan cheez ka dukh main ab charaaghh ki lau hi nahin banaoonga main ek film banaoonga apne sarwat par aur is men rail ki patri nahin banaoonga

Tehzeeb Hafi

92 likes

safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo

Nida Fazli

61 likes

jo ism-o-jism ko baaham nibhaane vaala nahin main aise ishq par eimaan laane vaala nahin main paanv dhoke piyuun yaar banke jo aa.e munaafiqon ko to main munh lagaane vaala nahin bas itnaa jaan le ai pur-kashish ke dil tujhse bahl to saka hai par tujh pe aane vaala nahin tujhe kisi ne galat kah diya mere baare nahin miyaan main dilon ko dukhaane vaala nahin sun ai kaabila-e-kufi-dilaan mukarrar sun ali kabhi bhi hajeemat uthaane vaala nahin

Ali Zaryoun

31 likes

More from Sahir Ludhianvi

fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

2 likes

apna dil pesh karoon apni vafaa pesh karoon kuchh samajh men nahin aata tujhe kya pesh karoon tere milne ki khushi men koi naghma chhedu ya tire dard-e-judai ka gilaa pesh karoon mere KHvaabon men bhi tu mere khayaalon men bhi tu kaun si cheez tujhe tujh se juda pesh karoon jo tire dil ko lubhaaye vo ada mujh men nahin kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karoon

Sahir Ludhianvi

8 likes

saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karen KHuda mila ho jinhen vo KHuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo KHafaa bhi na hon is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karen hamaare ahd ki tahzeeb men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka mazhab naya KHuda laaya karen to ham bhi magar kis KHuda ki baat karen wafa-shiaar kaii hain koi haseen bhi to ho chalo phir aaj usii be-vafa ki baat karen

Sahir Ludhianvi

6 likes

havas-naseeb nazar ko kahii qaraar nahin main muntazir hooñ magar teraa intizaar nahin humeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaar humeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin abhii na chhed mohabbat ke geet ai mutarib abhii hayaat ka maahol khush-gawaar nahin tumhaare ahad-e-wafaa ko main ahd kya samjhoon mujhe KHud apni mohabbat pe e'tibaar nahin na jaane kitne gile is men muztarib hain nadeem vo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahin gurez ka nahin qaail hayaat se lekin jo sach kahooñ ki mujhe maut naagawaar nahin ye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane ne ki ab hayaat pe teraa bhi ikhtiyaar nahin

Sahir Ludhianvi

2 likes

itni haseen itni jawaan raat kya karen jaage hain kuchh ajeeb se jazbaat kya karen pedon ke baazuon men mehkati hai chaandni bechain ho rahe hain khayaalaat kya karen saanson men ghul rahi hai kisi saans ki mahak daaman ko choo raha hai koi haath kya karen shaayad tumhaare aane se ye bhed khul sake hairaan hain ki aaj nayi baat kya karen

Sahir Ludhianvi

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.