saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karen KHuda mila ho jinhen vo KHuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo KHafaa bhi na hon is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karen hamaare ahd ki tahzeeb men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka mazhab naya KHuda laaya karen to ham bhi magar kis KHuda ki baat karen wafa-shiaar kaii hain koi haseen bhi to ho chalo phir aaj usii be-vafa ki baat karen
Related Ghazal
teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
Tehzeeb Hafi
203 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
gale to lagana hai usse kaho abhii lag jaa.e yahii na ho meraa uske baghair jee lag jaa.e main aa raha hooñ tere paas ye na ho ki kahii teraa mazaak ho aur meri zindagi lag jaa.e agar koi teri raftaar maapne nikle dimaagh kya hai jahaanon ki raushni lag jaa.e tu haath utha nahin saka to meraa haath pakad tujhe dua nahin lagti to shayari lag jaa.e pata karunga andhere men kis se milta hai aur is amal men mujhe chahe aag bhi lag jaa.e hamaare haath hi jalte rahenge cigarette se k abhii tumhaare bhi kapdon pe istree lag jaa.e har ek baat ka matlab nikaalne waalon tumhaare naam ke aage na matlabi lag jaa.e classroom ho ya hashr kaise mumkin hai hamaare hote teri ghair-haaziri lag jaa.e main pichhle bees baras se teri girift men hooñ ke itne der men to koi aayi jee lag jaa.e
Tehzeeb Hafi
124 likes
More from Sahir Ludhianvi
fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha
Sahir Ludhianvi
2 likes
sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai
Sahir Ludhianvi
14 likes
tiri duniya men jeene se to behtar hai ki mar jaayen vahii aañsu vahii aahen vahii gham hai jidhar jaayen koi to aisa ghar hota jahaan se pyaar mil jaata vahii begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen are o aasmaañ waale bataa is men bura kya hai khushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen
Sahir Ludhianvi
7 likes
ab aayen ya na aayen idhar poochte chalo kya chahti hai un ki nazar poochte chalo ham se agar hai tark-e-taalluq to kya hua yaaro koi to un ki khabar poochte chalo jo KHud ko kah rahe hain ki manzil-shanaas hain un ko bhi kya khabar hai magar poochte chalo kis manzil-e-muraad ki jaanib ravaan hain ham ai rah-ravaan-e-khaak-basar poochte chalo
Sahir Ludhianvi
1 likes
apna dil pesh karoon apni vafaa pesh karoon kuchh samajh men nahin aata tujhe kya pesh karoon tere milne ki khushi men koi naghma chhedu ya tire dard-e-judai ka gilaa pesh karoon mere KHvaabon men bhi tu mere khayaalon men bhi tu kaun si cheez tujhe tujh se juda pesh karoon jo tire dil ko lubhaaye vo ada mujh men nahin kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karoon
Sahir Ludhianvi
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.







