ghazalKuch Alfaaz

havas-naseeb nazar ko kahii qaraar nahin main muntazir hooñ magar teraa intizaar nahin humeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaar humeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin abhii na chhed mohabbat ke geet ai mutarib abhii hayaat ka maahol khush-gawaar nahin tumhaare ahad-e-wafaa ko main ahd kya samjhoon mujhe KHud apni mohabbat pe e'tibaar nahin na jaane kitne gile is men muztarib hain nadeem vo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahin gurez ka nahin qaail hayaat se lekin jo sach kahooñ ki mujhe maut naagawaar nahin ye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane ne ki ab hayaat pe teraa bhi ikhtiyaar nahin

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

More from Sahir Ludhianvi

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Sahir Ludhianvi

14 likes

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne zamaane ab to KHush ho zahar ye bhi pee liya main ne abhii zinda hooñ lekin sochta rehta hooñ khilwat men ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne unhen apna nahin saka magar itnaa bhi kya kam hai ki kuchh muddat haseen KHvaabon men kho kar jee liya main ne bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo bahut dukh sah li.e main ne bahut din jee liya main ne

Sahir Ludhianvi

0 likes

saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karen KHuda mila ho jinhen vo KHuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo KHafaa bhi na hon is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karen hamaare ahd ki tahzeeb men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka mazhab naya KHuda laaya karen to ham bhi magar kis KHuda ki baat karen wafa-shiaar kaii hain koi haseen bhi to ho chalo phir aaj usii be-vafa ki baat karen

Sahir Ludhianvi

6 likes

bhule se mohabbat kar baitha naadaan tha bechaara dil hi to hai har dil se KHataa ho jaati hai bigdo na khudaara dil hi to hai is tarah nigaahen mat phero aisa na ho dhadkan ruk jaa.e seene men koi patthar to nahin ehsaas ka maara dil hi to hai jazbaat bhi hindu hote hain chaahat bhi musalmaan hoti hai duniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara dil hi to hai bedaad-garon ki thokar se sab KHvaab suhaane choor hue ab dil ka sahaara gham hi to hai ab gham ka sahaara dil hi to hai

Sahir Ludhianvi

4 likes

apna dil pesh karoon apni vafaa pesh karoon kuchh samajh men nahin aata tujhe kya pesh karoon tere milne ki khushi men koi naghma chhedu ya tire dard-e-judai ka gilaa pesh karoon mere KHvaabon men bhi tu mere khayaalon men bhi tu kaun si cheez tujhe tujh se juda pesh karoon jo tire dil ko lubhaaye vo ada mujh men nahin kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karoon

Sahir Ludhianvi

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.