ghazalKuch Alfaaz

man jis ka maula hota hai vo bilkul mujh sa hota hai aañkhen hans kar pooch rahi hain neend aane se kya hota hai miTTi ki izzat hoti hai paani ka charcha hota hai jaanta hooñ mansoor ko bhi main apne hi ghar ka hota hai achchhii ladki zid nahin karte dekho ishq bura hota hai vehshat ka ik gur hai jis men qais apna bachcha hota hai baaz-auqaat mujhe duniya par duniya ka bhi shubh hota hai tum mujh ko apna kahte ho kah lene se kya hota hai

Ali Zaryoun26 Likes

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

More from Ali Zaryoun

charaagahein nai aabaad hogii magar jo bastiyaan barbaad hogii KHuda miTTi ko phir se hukm dega kaii shaklein nai ijaad hogii abhii mumkin nahin lekin ye hogaa kitaaben sahib-e-aulaad hogii main un aankhoñ ko padhkar sochta hoon ye naz men kis tarah se yaad hogii ye pariyaan phir nahin aayegi milne ye ghazlein phir nahin irshaad hogii main dartaa hoon ali un aadaton se ke jo mujh...ko tumhaare baad hogii

Ali Zaryoun

21 likes

haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh

Ali Zaryoun

7 likes

janaab-e-sheikh ki harza-saraai jaarii hai udhar se zulm idhar se duhaai jaarii hai bichhad gaya hooñ magar yaad karta rehta hooñ kitaab chhod chuka hooñ padhaai jaarii hai tire alaava kahii aur bhi mulawwis hooñ tiri vafaa se mirii be-vafaaii jaarii hai vo kyun kaheinge ki dono men amn ho jaa.e hamaari jang se jin ki kamaai jaarii hai ajeeb khabt-e-masihaai hai ki hairat hai mareez mar bhi chuka hai davaai jaarii hai

Ali Zaryoun

13 likes

chup-chaap kyuuñ phiro ho koii baat to karo hal bhi nikaalte hain mulaqaat to karo khaali hawa men udna fakeeri nahin miyaan dil jod ke dikhaao karaamaat to karo

Ali Zaryoun

15 likes

toor-e-seena hai sar karoge miyaan apne andar safar karoge miyaan tum ha men roz yaad karte ho phir to tum umr bhar karoge miyaan vo jo ik lafz mar gaya hai us..ko kiski khabar karoge miyaan aur dil-e-darvesh ek madeena hai tum madine men sair karoge miyaan

Ali Zaryoun

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Zaryoun.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.