ghazalKuch Alfaaz

ye shokhiyaan ye jawaani kahaan se laayein ham tumhaare husn ka saani kahaan se laayein ham mohabbatein vo puraani kahaan se laayein ham ruki nadi men ravaani kahaan se laayein ham hamaari aankh hai paivast ek sehra men ab aisi aankh men paani kahaan se laayein ham har ek lafz ke maani talashte ho tum har ek lafz ka maani kahaan se laayein ham chalo bataa den zamaane ko apne baare men ki roz jhooti kahaanii kahaan se laayein ham

Varun Anand18 Likes

Related Ghazal

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

jeena mushkil hai ki aasaan zaraa dekh to lo log lagte hain pareshaan zaraa dekh to lo phir muqarrir koi sargarm sar-e-minbar hai kis ke hai qatl ka samaan zaraa dekh to lo ye naya shahar to hai khoob basaaya tum ne kyun puraana hua veeraan zaraa dekh to lo in charaaghon ke tale aise andhere kyun hai tum bhi rah jaaoge hairaan zaraa dekh to lo tum ye kahte ho ki main gair hooñ phir bhi shaayad nikal aa.e koi pahchaan zaraa dekh to lo ye sataish ki tamannaa ye sile ki parwaah kahaan l aa.e hain ye armaan zaraa dekh to lo

Javed Akhtar

33 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kaha jo maine galat kar rahi ho chun ke mujhe achaanak usne kaha chup ye baat sun ke mujhe koi junoon hawa men uda de meraa vujood koi asa ho jo rooi ki tarah dhunke mujhe kisi ne kah ke jab ik haan basaaya dil ka jahaan qasam KHuda ki samajh aa.e maani kun ke mujhe udhed de gar iraada nahin pahanne ka ye kya ki ek taraf rakh diya hai bun ke mujhe shajar se kaat liya hai to apni mez banaa agar nahin to phir aane de kaam ghun ke mujhe kal ek rail ki chik chik se rukn yaad aa.e mafailun failaatun mafailun ke mujhe tumhaare lautne tak kuchh bura na ho gaya hona saath chhodna mujh jaise bad-shugun ke mujhe faqeer log samajh aayen ya na aayen umair koi samajhta nahin hai siwaye un ke mujhe

Umair Najmi

26 likes

More from Varun Anand

kahii na aisa ho apna vaqaar kha jaa.e khizaan se phool bachaayein bahaar kha jaa.e hamaare jaisa kahaan dil kisi ka hogaa bhala jo dard pale rakhe aur qaraar kha jaa.e palat ke sang tiri aur fenk saka hooñ ki main vo qais nahin haan jo maar kha jaa.e usii ka daakhila is dasht men karo ab se jo sabr pee sake apna ghubaar kha jaa.e bahut qaraar hai thodii si be-qaraari de kahii na aisa ho mujh ko qaraar kha jaa.e ajab safeena hai ye vaqt ka safeena bhi jo apni god men baitha sawaar kha jaa.e

Varun Anand

11 likes

marham ke nahin hain ye taraf-daar namak ke nikle hain mire zakham talabgaar namak ke aaya koi sailaab kahaanii men achaanak aur ghul ga.e paani men vo kirdaar namak ke dono hi kinaaron pe thii beemaaron ki majlis is paar the meethe ke to us paar namak ke us ne hi diye zakham ye gardan pe hamaari phir us ne hi pahnaaye ha men haar namak ke kahti thii ghazal mujh ko hai marham ki zaroorat aur dete rahe sab use ashaar namak ke jis samt mila karti theen zaKHmon ki dawaayein sunte hain ki ab hain vahaañ bazaar namak ke

Varun Anand

9 likes

vafaa khuloos madad dekhbhaal bhool ga.e ab aise lafzon ka sab istimaal bhool ga.e manana roothna hijr-o-visaal bhool ga.e sabhi mohabbaton ka istimaal bhool ga.e nazar ke saamne vo ba-kamaal kya aaya ham apne hisse ke saare kamaal bhool ga.e qafas men lag gaya jee aakhirsh parindon ka jahaan se aa.e the vo daal-waal bhool ga.e futuur phir se chadha hai nayi muhabbat ka janab pichhli muhabbat ka haal bhool ga.e phir usne soch samajh kar ik aisi chaal chali ki jis..ko dekh ke sab apni chaal bhool ga.e diye jalane the par dil jala diye hamne ham apne fan ka sahi istimaal bhool ga.e

Varun Anand

9 likes

hamaari aankh se barsa hai ye kal raat ka paani samajh baithe ho jis ko aap bhi barsaat ka paani sataati hi nahin us..ko kabhi phir pyaas ki shiddat ki jo ik baar pee leta hai uske haath ka paani chalo achha hua aansoo bhi mere pee ga.e ye log chalo kuchh kaam to aaya mere jazbaat ka paani tumhaare vaaste bas naachne gaane ka mauqa hai museebat hai hamaare vaaste barsaat ka paani ye sehra hai yahaañ dariyaa samandar ki hi baatein hain yahaañ matlab nikalta hai sabhi ki baat ka paani

Varun Anand

15 likes

yuñ apni pyaas ki KHud hi kahaanii likh rahe the ham sulagti ret pe ungli se paani likh rahe the ham miyaan bas maut hi sach hai vahaañ ye likh gaya koi jahaan par zindagaani zindagaani likh rahe the ham mile tujh se to duniya ko suhaani likh diya ham ne vagarna kab se us ko be-maa'ni likh rahe the ham humeen pe gir padi kal raat vo deewaar ro ro kar ki jis pe apne maazi ki kahaanii likh rahe the ham

Varun Anand

27 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Varun Anand.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Varun Anand's ghazal.