ghazalKuch Alfaaz

zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge

Tehzeeb Hafi88 Likes

Related Ghazal

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

More from Tehzeeb Hafi

ajeeb KHvaab tha us ke badan men kaai thii vo ik pari jo mujhe sabz karne aayi thii vo ik charagh-kada jis men kuchh nahin tha meraa vo jal rahi thii vo qindeel bhi paraai thii na jaane kitne parindon ne is men shirkat ki kal ek ped ki taraqeeb-e-ro-numaai thii hawaon aao mire gaav ki taraf dekho jahaan ye ret hai pahle yahaañ taraai thii kisi sipaah ne khe men laga diye hain vahaañ jahaan ye main ne nishaani tiri dabaai thii gale mila tha kabhi dukh bhare december se mire vujood ke andar bhi dhund chhaai thii

Tehzeeb Hafi

15 likes

ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha

Tehzeeb Hafi

44 likes

jab us ki tasveer banaya karta tha kamra rangon se bhar jaaya karta tha ped mujhe hasrat se dekha karte the main jungle men paani laaya karta tha thak jaata tha baadal saaya karte karte aur phir main baadal pe saaya karta tha baitha rehta tha saahil pe saara din dariyaa mujh se jaan chhudaaya karta tha bint-e-sehra rootha karti thii mujh se main sehra se ret churaaya karta tha

Tehzeeb Hafi

24 likes

jaane waale se raabta rah jaa.e ghar ki deewaar par diya rah jaa.e ik nazar jo bhi dekh le tujh ko vo tire KHvaab dekhta rah jaa.e itni girhen lagii hain is dil par koi khole to kholta rah jaa.e koi kamre men aag taapta ho koi baarish men bheegta rah jaa.e neend aisi ki raat kam pad jaa.e KHvaab aisa ki munh khula rah jaa.e jheel saif-ul-mulook par jaaun aur kamre men camera rah jaa.e

Tehzeeb Hafi

38 likes

cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main aankh khulne pe bhi bedaar nahin hota main KHvaab karna ho safar karna ho ya rona ho mujh men khoobi hai bezaar nahin hota men ab bhala apne li.e banna sanwarna kaisa KHud se milnaa ho to taiyyaar nahin hota main kaun aayega bhala meri ayaadat ke li.e bas isee khauf se beemaar nahin hota main manzil-e-ishq pe niklaa to kaha raaste ne har kisi ke li.e hamvaar nahin hota main teri tasveer se taskin nahin hoti mujhe teri awaaz se sarshaar nahin hota main log kahte hain main baarish ki tarah hooñ haafi akshar auqaat lagaataar nahin hota main

Tehzeeb Hafi

35 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.