ghazalKuch Alfaaz

dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi

Zubair Ali Tabish

58 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Kaleem Aajiz

meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche

Kaleem Aajiz

1 likes

shaane ka bahut khoon-e-jigar jaa.e hai pyaare tab zulf kahii taa-b-kamar jaa.e hai pyaare jis din koi gham mujh pe guzar jaa.e hai pyaare chehra tira us roz nikhar jaa.e hai pyaare ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa men tu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare rahne de jafaon ki kaddi dhoop men mujh ko saa.e men to har shaKHs thehar jaa.e hai pyaare vo baat zaraa si jise kahte hain gham-e-dil samjhaane men ik umr guzar jaa.e hai pyaare har-chand koi naam nahin meri ghazal men teri hi taraf sab ki nazar jaa.e pyaare

Kaleem Aajiz

0 likes

mujhe is ka koi gilaa nahin ki bahaar ne mujhe kya diya tiri aarzoo to nikaal dii tira hausla to badha diya go sitam ne tere har ik tarah mujhe na-umeed banaa diya ye mirii vafaa ka kamaal hai ki nibaah kar ke dikha diya koi bazm ho koi anjuman ye shi'aar apna qadeem hai jahaan raushni ki kamii mili wahin ik charaaghh jala diya tujhe ab bhi mere khuloos ka na yaqeen aa.e to kya karoon tire gesuon ko sanwaar kar tujhe aaina bhi dikha diya mirii shaay'ri men tire siva koi maajra hai na muddaa jo tiri nazar ka fasana tha vo mirii ghazal ne suna diya ye gareeb aziz'-e-be-watan ye ghubaar-e-khaatir-e-anjuman ye KHaraab jis ke li.e hua usii bevafaa ne bhula diya

Kaleem Aajiz

0 likes

ye deewane kabhi paabandiyo ka gham nahin lenge garebaan chaak jab tak kar na lenge dam nahin lenge lahu denge to lenge pyaar moti ham nahin lenge ha men phoolon ke badle phool do shabnam nahin lenge ye gham kis ne diya hai pooch mat ai hum-nasheen ham se zamaana le raha hai naam us ka ham nahin lenge mohabbat karne waale bhi ajab khuddaar hote hain jigar par zakham lenge zakham par marham nahin lenge gham-e-dil hi ke maaron ko gham-e-ayyaam bhi de do gham itnaa lene waale kya ab itnaa gham nahin lenge sanwaare ja rahe hain ham uljhti jaati hain zulfen tum apne zimma lo ab ye bakheda ham nahin lenge shikaayat un se karna go museebat mol lena hai magar aajiz ghazal ham be-sunaaye dam nahin lenge

Kaleem Aajiz

0 likes

munh faqeeron se na fera chahiye ye to poocha chahiye kya chahiye chaah ka meyaar ooncha chahiye jo na chahein un ko chaaha chahiye kaun chahe hai kisi ko be-gharz chaahne waalon se bhaaga chahiye ham to kuchh chahe hain tum chaaho ho kuchh vaqt kya chahe hai dekha chahiye chahte hain tere hi daaman ki khairham hain deewane ha men kya chahiye be-rukhi bhi naaz bhi andaaz bhi chahiye lekin na itnaa chahiye ham jo kehna chahte hain kya kahein aap kah lijye jo kehna chahiye baat chahe be-saleeqa ho kaleem baat kehne ka saleeqa chahiye

Kaleem Aajiz

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaleem Aajiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.