meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche
Related Ghazal
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho
Jawwad Sheikh
50 likes
More from Kaleem Aajiz
dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka
Kaleem Aajiz
0 likes
mirii shaayeri men na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa vahii dukh-bharon ki hikaayaten vahii dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi be-vafa ki nishaaniyaan yahii mire din ke rafeeq hain yahii mirii raat ki raaniyaan ye mirii zabaan pe ghazal nahin main suna raha hooñ kahaaniyaan ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan k abhii aañsuon ko sukha gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein k abhii dil ki naav dubo gaiin mire aañsuon ki ravaaniyaan abhii us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhii maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mira nichoda hua lahu abhii sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan
Kaleem Aajiz
0 likes
main rooun hooñ rona mujhe bh aa.e hai kisi ka bhala is men kya jaa.e hai dil aa.e hai phir dil men dard aa.e hai yuñ hi baat men baat badh jaa.e hai koi der se haath fail aa.e hai vo na-mehrabaan aa.e hai jaa.e hai mohabbat men dil jaa.e gar jaa.e hai jo khoye nahin hai vo kya paa.e hai junoon sab ishaare men kah jaa.e hai magar aql ko kab samajh aa.e hai pukaaroon hooñ lekin na baaz aa.e hai ye duniya kahaan doobne jaa.e hai KHamoshii men har baat ban jaa.e hai jo bole hai deewaana kahl aa.e hai qayamat jahaan aayegi aayegi yahaañ subh aa.e hai shaam aa.e hai junoon khatm daar-o-rasan par nahin ye rastaa bahut door tak jaa.e hai
Kaleem Aajiz
0 likes
vaqt ke dar par bhi hai bahut kuchh vaqt ke dar se aage bhi shaam-o-sehar ke saath bhi chaliye shaam-o-sehar se aage bhi aql-o-khird ke hangaamon men shauq ka daaman chhoot na jaa.e shauq bashar ko le jaata hai aql-e-bashar se aage bhi daar-o-rasan ki resha-davaani gardan-o-sar tak rahtii hai ahl-e-junoon ka paanv raha hai gardan-o-sar se aage bhi mere ghar ko aag laga kar hum-saayon ko hansne do shole badh kar ja pahunchege mere ghar se aage bhi ishq ne raah-e-wafa samjhaai samjhaane ke b'ad kaha vaqt pada to jaana hogaa raahguzar se aage bhi shaayar fikr-o-nazar ka maalik dil ka sultaan ghar ka faqeer duniya ka paamaal qadam bhi duniya bhar se aage bhi aañkhen jo kuchh dekh rahi hain us se dhoka khaayein kya dil to aajiz dekh raha hai hadd-e-nazar se aage bhi
Kaleem Aajiz
0 likes
shaane ka bahut khoon-e-jigar jaa.e hai pyaare tab zulf kahii taa-b-kamar jaa.e hai pyaare jis din koi gham mujh pe guzar jaa.e hai pyaare chehra tira us roz nikhar jaa.e hai pyaare ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa men tu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare rahne de jafaon ki kaddi dhoop men mujh ko saa.e men to har shaKHs thehar jaa.e hai pyaare vo baat zaraa si jise kahte hain gham-e-dil samjhaane men ik umr guzar jaa.e hai pyaare har-chand koi naam nahin meri ghazal men teri hi taraf sab ki nazar jaa.e pyaare
Kaleem Aajiz
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaleem Aajiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.







