ghazalKuch Alfaaz

mirii shaayeri men na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa vahii dukh-bharon ki hikaayaten vahii dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi be-vafa ki nishaaniyaan yahii mire din ke rafeeq hain yahii mirii raat ki raaniyaan ye mirii zabaan pe ghazal nahin main suna raha hooñ kahaaniyaan ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan k abhii aañsuon ko sukha gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein k abhii dil ki naav dubo gaiin mire aañsuon ki ravaaniyaan abhii us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhii maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mira nichoda hua lahu abhii sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Kaleem Aajiz

meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche

Kaleem Aajiz

1 likes

dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka

Kaleem Aajiz

0 likes

mujhe is ka koi gilaa nahin ki bahaar ne mujhe kya diya tiri aarzoo to nikaal dii tira hausla to badha diya go sitam ne tere har ik tarah mujhe na-umeed banaa diya ye mirii vafaa ka kamaal hai ki nibaah kar ke dikha diya koi bazm ho koi anjuman ye shi'aar apna qadeem hai jahaan raushni ki kamii mili wahin ik charaaghh jala diya tujhe ab bhi mere khuloos ka na yaqeen aa.e to kya karoon tire gesuon ko sanwaar kar tujhe aaina bhi dikha diya mirii shaay'ri men tire siva koi maajra hai na muddaa jo tiri nazar ka fasana tha vo mirii ghazal ne suna diya ye gareeb aziz'-e-be-watan ye ghubaar-e-khaatir-e-anjuman ye KHaraab jis ke li.e hua usii bevafaa ne bhula diya

Kaleem Aajiz

0 likes

shaane ka bahut khoon-e-jigar jaa.e hai pyaare tab zulf kahii taa-b-kamar jaa.e hai pyaare jis din koi gham mujh pe guzar jaa.e hai pyaare chehra tira us roz nikhar jaa.e hai pyaare ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa men tu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare rahne de jafaon ki kaddi dhoop men mujh ko saa.e men to har shaKHs thehar jaa.e hai pyaare vo baat zaraa si jise kahte hain gham-e-dil samjhaane men ik umr guzar jaa.e hai pyaare har-chand koi naam nahin meri ghazal men teri hi taraf sab ki nazar jaa.e pyaare

Kaleem Aajiz

0 likes

zaKHmon ke naye phool khilaane ke li.e aa phir mausam-e-gul yaad dilaane ke li.e aa masti li.e aankhoñ men bikhere hue zulfen aa phir mujhe deewaana banaane ke li.e aa ab lutf isee men hai mazaa hai to isee men aa ai mire mahboob sataane ke li.e aa aa rakh dehan-e-zakhm pe phir ungaliyaan apni dil baansuri teri hai bajaane ke li.e aa haan kuchh bhi to deerina mohabbat ka bharam rakh dil se na aa duniya ko dikhaane ke li.e aa maana ki mire ghar se adavat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagaane ke li.e aa pyaare tiri soorat se bhi achchhii hai jo tasveer main ne tujhe rakkhi hai dikhaane ke li.e aa aashufta kahe hai koi deewaana kahe hai main kaun hooñ duniya ko bataane ke li.e aa kuchh roz se ham shahar men rusva na hue hain aa phir koi ilzaam lagaane ke li.e aa ab ke jo vo aa jaa.e to aajiz use le kar mehfil men ghazal apni sunaane ke li.e aa

Kaleem Aajiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaleem Aajiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.