ghazalKuch Alfaaz

zaKHmon ke naye phool khilaane ke li.e aa phir mausam-e-gul yaad dilaane ke li.e aa masti li.e aankhoñ men bikhere hue zulfen aa phir mujhe deewaana banaane ke li.e aa ab lutf isee men hai mazaa hai to isee men aa ai mire mahboob sataane ke li.e aa aa rakh dehan-e-zakhm pe phir ungaliyaan apni dil baansuri teri hai bajaane ke li.e aa haan kuchh bhi to deerina mohabbat ka bharam rakh dil se na aa duniya ko dikhaane ke li.e aa maana ki mire ghar se adavat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagaane ke li.e aa pyaare tiri soorat se bhi achchhii hai jo tasveer main ne tujhe rakkhi hai dikhaane ke li.e aa aashufta kahe hai koi deewaana kahe hai main kaun hooñ duniya ko bataane ke li.e aa kuchh roz se ham shahar men rusva na hue hain aa phir koi ilzaam lagaane ke li.e aa ab ke jo vo aa jaa.e to aajiz use le kar mehfil men ghazal apni sunaane ke li.e aa

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha

Zubair Ali Tabish

48 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Kaleem Aajiz

meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche

Kaleem Aajiz

1 likes

dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka

Kaleem Aajiz

0 likes

shaane ka bahut khoon-e-jigar jaa.e hai pyaare tab zulf kahii taa-b-kamar jaa.e hai pyaare jis din koi gham mujh pe guzar jaa.e hai pyaare chehra tira us roz nikhar jaa.e hai pyaare ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa men tu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare rahne de jafaon ki kaddi dhoop men mujh ko saa.e men to har shaKHs thehar jaa.e hai pyaare vo baat zaraa si jise kahte hain gham-e-dil samjhaane men ik umr guzar jaa.e hai pyaare har-chand koi naam nahin meri ghazal men teri hi taraf sab ki nazar jaa.e pyaare

Kaleem Aajiz

0 likes

mujhe is ka koi gilaa nahin ki bahaar ne mujhe kya diya tiri aarzoo to nikaal dii tira hausla to badha diya go sitam ne tere har ik tarah mujhe na-umeed banaa diya ye mirii vafaa ka kamaal hai ki nibaah kar ke dikha diya koi bazm ho koi anjuman ye shi'aar apna qadeem hai jahaan raushni ki kamii mili wahin ik charaaghh jala diya tujhe ab bhi mere khuloos ka na yaqeen aa.e to kya karoon tire gesuon ko sanwaar kar tujhe aaina bhi dikha diya mirii shaay'ri men tire siva koi maajra hai na muddaa jo tiri nazar ka fasana tha vo mirii ghazal ne suna diya ye gareeb aziz'-e-be-watan ye ghubaar-e-khaatir-e-anjuman ye KHaraab jis ke li.e hua usii bevafaa ne bhula diya

Kaleem Aajiz

0 likes

mirii subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunchen mujhe dar ye hai buraai tire naam tak na pahunchen mire paas kya vo aate mira dard kya mitaate mira haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunchen ho kisi ka mujh pe ehsaan ye nahin pasand mujh ko tiri subh ki tajalli mirii shaam tak na pahunchen tiri be-rukhi pe zalim mira jee ye chahta hai ki vafaa ka mire lab par kabhi naam tak na pahunchen main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hooñ vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunchen vo sanam bigad ke mujh se mira kya bigaad lega kabhi raaz khol doon main to salaam tak na pahunchen mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan se kabhi daam tak na pahunchen unhen meherbaan samajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunchen hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunchen jise main ne jagmagaya usii anjuman men saaqi mira zikr tak na aa.e mira naam tak na pahunchen tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna main nahin hooñ door itnaa ki salaam tak na pahunchen

Kaleem Aajiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaleem Aajiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.