mirii subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunchen mujhe dar ye hai buraai tire naam tak na pahunchen mire paas kya vo aate mira dard kya mitaate mira haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunchen ho kisi ka mujh pe ehsaan ye nahin pasand mujh ko tiri subh ki tajalli mirii shaam tak na pahunchen tiri be-rukhi pe zalim mira jee ye chahta hai ki vafaa ka mire lab par kabhi naam tak na pahunchen main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hooñ vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunchen vo sanam bigad ke mujh se mira kya bigaad lega kabhi raaz khol doon main to salaam tak na pahunchen mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan se kabhi daam tak na pahunchen unhen meherbaan samajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunchen hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunchen jise main ne jagmagaya usii anjuman men saaqi mira zikr tak na aa.e mira naam tak na pahunchen tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna main nahin hooñ door itnaa ki salaam tak na pahunchen
Related Ghazal
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
aaiine aankh men chubhte the bistar se badan katraata tha ek yaad basar karti thii mujhe main saans nahin le paata tha ek shakhs ke haath men tha sab kuchh meraa khilna bhi murjhaana bhi rota tha to raat ujad jaati hansata tha to din ban jaata tha main rab se raabte men rehta mumkin hai ki us se raabta ho mujhe haath uthaana padte the tab jaakar vo phone uthaata tha mujhe aaj bhi yaad hai bachpan men kabhi us par nazar agar padti mere baste se phool barsate the meri takhti pe dil ban jaata tha ham ek zindaan men jinda the ham ek janjeer men badhe hue ek doosre ko dekh kar ham kabhi hansate the to rona aata tha vo jism nazarandaaz nahin ho paata tha in aankhoñ se mujrim thehrata tha apna kehne ko to ghar thehrata tha
Tehzeeb Hafi
129 likes
haan ye sach hai ki mohabbat nahin ki dost bas meri tabiyat nahin ki isliye gaanv main sailaab aaya hamne daryaao ki izzat nahin ki jism tak usne mujhe saunp diya dil ne is par bhi kanaayat nahin ki mere e'jaz men rakhi gaii thii maine jis bazm men shirkat nahin ki yaad bhi yaad se rakha us..ko bhool jaane men bhi gafalat nahin ki us..ko dekha tha ajab haalat men phir kabhi uski hifaazat nahin ki ham agar fatah hue hai to kya ishq ne kis pe hukoomat nahin ki
Tehzeeb Hafi
74 likes
More from Kaleem Aajiz
meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche
Kaleem Aajiz
1 likes
mirii shaayeri men na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa vahii dukh-bharon ki hikaayaten vahii dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi be-vafa ki nishaaniyaan yahii mire din ke rafeeq hain yahii mirii raat ki raaniyaan ye mirii zabaan pe ghazal nahin main suna raha hooñ kahaaniyaan ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan k abhii aañsuon ko sukha gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein k abhii dil ki naav dubo gaiin mire aañsuon ki ravaaniyaan abhii us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhii maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mira nichoda hua lahu abhii sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan
Kaleem Aajiz
0 likes
har-chand gham-o-dard ki qeemat bhi bahut thii lena hi pada dil ko zaroorat bhi bahut thii zalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thii majboor the ham us se mohabbat bhi bahut thii go tark-e-ta'alluq men suhulat bhi bahut thii lekin na hua ham se ki ghairat bhi bahut thii us but ke sitam sah ke dikha hi diya ham ne go apni tabi'at men baghaavat bhi bahut thii waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se vo warna dil ke li.e thodii si inaayat hi bahut thii yuñ hi nahin mashhoor-e-zamaana mira qaateelus shaKHs ko is fan men mahaarat bhi bahut thii kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil men bahut tha aur dil ko lahu karne ke furqat bhi bahut thii har shaam sunaate the haseenon ko ghazal ham jab maal bahut tha to sakhaawat bhi bahut thii bulwa ke ham aajiz ko pashemaan bhi bahut hain kya keejie kam-bakht ki shohrat bhi bahut thii
Kaleem Aajiz
1 likes
main rooun hooñ rona mujhe bh aa.e hai kisi ka bhala is men kya jaa.e hai dil aa.e hai phir dil men dard aa.e hai yuñ hi baat men baat badh jaa.e hai koi der se haath fail aa.e hai vo na-mehrabaan aa.e hai jaa.e hai mohabbat men dil jaa.e gar jaa.e hai jo khoye nahin hai vo kya paa.e hai junoon sab ishaare men kah jaa.e hai magar aql ko kab samajh aa.e hai pukaaroon hooñ lekin na baaz aa.e hai ye duniya kahaan doobne jaa.e hai KHamoshii men har baat ban jaa.e hai jo bole hai deewaana kahl aa.e hai qayamat jahaan aayegi aayegi yahaañ subh aa.e hai shaam aa.e hai junoon khatm daar-o-rasan par nahin ye rastaa bahut door tak jaa.e hai
Kaleem Aajiz
0 likes
kya gham hai agar shikwa-e-gham aam hai pyaare tu dil ko dukha teraa yahii kaam hai pyaare tere hi tabassum ka sehar naam hai pyaare tu khol de gesu to abhii shaam hai pyaare is vaqt tira jaan-e-jahaan naam hai pyaare jo kaam tu kar de vo badaa kaam hai pyaare jab pyaar kiya chain se kya kaam hai pyaare is men to tadapne hi men aaraam hai pyaare chhooti hai na chhootegi k abhii pyaar ki aadat main khoob samajhta hooñ jo anjaam hai pyaare ai kaash mirii baat samajh men tiri aa.e mirii jo ghazal hai miraa paighaam hai pyaare main hooñ jahaan sau fikr men sau ranj men sau dard tu hai jahaan aaraam hi aaraam hai pyaare go main ne k abhii apni zabaan par nahin laaya sab jaan rahe hain tira kya naam hai pyaare ham dil ko laga kar bhi khatkate hain dilon men tu dil ko dikha kar bhi dil-aaraam hai pyaare kahtaa hooñ ghazal aur raha karta hooñ sarshaar miraa yahii sheesha hai yahii jaam hai pyaare
Kaleem Aajiz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaleem Aajiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.







