ghazalKuch Alfaaz

dhanak dhanak miri poron ke khvab kar dega vo lams mere badan ko gulab kar dega qaba-e-jism ke har taar se guzarta hua kiran ka pyaar mujhe aftab kar dega junun-pasand hai dil aur tujh tak aane men badan ko naav lahu ko chanab kar dega main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi vo jhuut bolega aur la-javab kar dega ana-parast hai itna ki baat se pahle vo uth ke band miri har kitab kar dega sukut-e-shahr-e-sukhan men vo phuul sa lahja samaaton ki faza khvab khvab kar dega isi tarah se agar chahta raha paiham sukhan-vari men mujhe intikhab kar dega miri tarah se koi hai jo zindagi apni tumhari yaad ke naam intisab kar dega dhanak dhanak meri poron ke khwab kar dega wo lams mere badan ko gulab kar dega qaba-e-jism ke har tar se guzarta hua kiran ka pyar mujhe aaftab kar dega junun-pasand hai dil aur tujh tak aane mein badan ko naw lahu ko chanab kar dega main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi wo jhut bolega aur la-jawab kar dega ana-parast hai itna ki baat se pahle wo uth ke band meri har kitab kar dega sukut-e-shahr-e-sukhan mein wo phul sa lahja samaaton ki faza khwab khwab kar dega isi tarah se agar chahta raha paiham sukhan-wari mein mujhe intikhab kar dega meri tarah se koi hai jo zindagi apni tumhaari yaad ke nam intisab kar dega

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

More from Parveen Shakir

apni ruswaai tire naam ka charcha dekhooñ ik zaraa she'r kahooñ aur main kya kya dekhooñ neend aa jaa.e to kya mahfilein barpa dekhooñ aankh khul jaa.e to tanhaaii ka sehra dekhooñ shaam bhi ho gaii dhundla gaiin aañkhen bhi mirii bhoolne waale main kab tak tira rastaa dekhooñ ek ik kar ke mujhe chhod gaiin sab sakhiyaan aaj main KHud ko tiri yaad men tanhaa dekhooñ kaash sandal se mirii maang ujaale aa kar itne ghairoon men vahii haath jo apna dekhooñ tu mira kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaane kyun tere li.e dil ko dhadakna dekhooñ band kar ke mirii aañkhen vo sharaarat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhooñ sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon ek bacche ki tarah se use hansta dekhooñ mujh pe chha jaa.e vo barsaat ki khushboo ki tarah ang ang apna isee rut men mahakta dekhooñ phool ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhooñ main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar KHvaab ban kar tiri aankhoñ men utarta dekhooñ tu mirii tarah se yaktaa hai magar mire habeeb jee men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhooñ toot jaayen ki pighal jaayen mire kacche ghade tujh ko main dekhooñ ki ye aag ka dariyaa dekhooñ

Parveen Shakir

2 likes

ab itni saadgi laayein kahaan se zameen ki KHair maange aasmaañ se agar chahein to vo deewaar kar den ha men ab kuchh nahin kehna zabaan se sitaara hi nahin jab saath deta to kashtii kaam le kya baadbaan se bhatkne se mile furqat to poochen pata manzil ka meer-e-kaarwaan se tavajjoh barq ki haasil rahi hai so hai azaad fikr-e-aashiyaan se hawa ko raaz-daan ham ne banaya aur ab naaraz KHushboo ke bayaañ se zaroori ho gaii hai dil ki zeenat makeen pahchaane jaate hain makaan se fana-fil-ishq hona chahte the magar furqat na thii kaar-e-jahaan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thii badi hikmat hai waabasta khizaan se kisi ne baat ki thii hañs ke shaayad zamaane bhar se hain ham KHud gumaan se main ik ik teer pe KHud dhaal banti agar hota vo dushman ki kamaan se jo sabza dekh kar khe men lagaayein unhen takleef kyun pahunchen khizaan se jo apne ped jalte chhod jaayen unhen kya haq ki roothein baagbaan se

Parveen Shakir

0 likes

ab itni saadgi laayein kahaan se zameen ki KHair maange aasmaañ se agar chahein to vo deewaar kar den ha men ab kuchh nahin kehna zabaan se sitaara hi nahin jab saath deta to kashtii kaam le kya baadbaan se bhatkne se mile furqat to poochen pata manzil ka meer-e-kaarwaan se tavajjoh barq ki haasil rahi hai so hai azaad fikr-e-aashiyaan se hawa ko raaz-daan ham ne banaya aur ab naaraz KHushboo ke bayaañ se zaroori ho gaii hai dil ki zeenat makeen pahchaane jaate hain makaan se fana-fil-ishq hona chahte the magar furqat na thii kaar-e-jahaan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thii badi hikmat hai waabasta khizaan se kisi ne baat ki thii hañs ke shaayad zamaane bhar se hain ham KHud gumaan se main ik ik teer pe KHud dhaal banti agar hota vo dushman ki kamaan se jo sabza dekh kar khe men lagaayein unhen takleef kyun pahunchen khizaan se jo apne ped jalte chhod jaayen unhen kya haq ki roothein baagbaan se

Parveen Shakir

0 likes

charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gaya hawa ke saath musaafir ka naqsh-e-paa bhi gaya main phool chuntee rahi aur mujhe khabar na hui vo shaKHs aa ke mire shahar se chala bhi gaya bahut aziz sahi us ko mirii dildaari magar ye hai ki kabhi dil mira dukha bhi gaya ab un dareechon pe gehre dabeez parde hain vo taank-jhaank ka ma'soom silsila bhi gaya sab aa.e mirii ayaadat ko vo bhi aaya tha jo sab ga.e to mira dard-aashna bhi gaya ye gurbaten mirii aankhoñ men kaisi utri hain ki KHvaab bhi mire ruksat hain ratjaga bhi gaya

Parveen Shakir

3 likes

ab bhala chhod ke ghar kya karte shaam ke vaqt safar kya karte teri masroofiyaten jaante hain apne aane ki khabar kya karte jab sitaare hi nahin mil paa.e le ke ham shams-o-qamar kya karte vo musaafir hi khulii dhoop ka tha saa.e faila ke shajar kya karte KHaak hi awwal o aaKHir thehri kar ke zarre ko guhar kya karte raay pahle se banaa li tu ne dil men ab ham tire ghar kya karte ishq ne saare saleeqe bakshe husn se kasb-e-hunar kya karte

Parveen Shakir

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Parveen Shakir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.