dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar vo rashk ye tha ki ghhair se tuk hansa tha chanchal misi laga kar faqat jo chitvan pe ghhaur kiije to vo bhi vo sehr hai ki jis ka karishma banda ghhulam ghhamza daghhaen naukar fareb chakar khiram ki hai vo tarz yaaro ki jis men niklen kai adaen qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uthana to dagmaga kar latak men bandon ki dil jo aave to khair bande hi us ko le len vagarna aave to phir na chhode udhar se baala jhamak dikha kar majal kya hai jo du-badu ho nazar se koi nazar ladave magar kisi ne jo us ko dekha to sau kharabi se chhup chhupa kar sune kisi ke na dard-e-dil ko vagar sune to jhidak ke us ko ye saaf kah de to kya bala hai jo sar phirata hai nahaq aa kar 'nazir' vo but hai dushman-e-jan na miliyo us se tu dekh hargiz vagar mila to khuda hai hafiz bache hain ham bhi khuda khuda kar dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar wo rashk ye tha ki ghair se tuk hansa tha chanchal misi laga kar faqat jo chitwan pe ghaur kije to wo bhi wo sehr hai ki jis ka karishma banda ghulam ghamza daghaen naukar fareb chaakar khiram ki hai wo tarz yaro ki jis mein niklen kai adaen qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uthana to dagmaga kar latak mein bandon ki dil jo aawe to khair bande hi us ko le len wagarna aawe to phir na chhode udhar se baala jhamak dikha kar majal kya hai jo du-badu ho nazar se koi nazar ladawe magar kisi ne jo us ko dekha to sau kharabi se chhup chhupa kar sune kisi ke na dard-e-dil ko wagar sune to jhidak ke us ko ye saf kah de to kya bala hai jo sar phiraata hai nahaq aa kar 'nazir' wo but hai dushman-e-jaan na miliyo us se tu dekh hargiz wagar mila to khuda hai hafiz bache hain hum bhi khuda khuda kar
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nazeer Akbarabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nazeer Akbarabadi's ghazal.







