har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paayenge ham to haar ke ik din is ki bhi tadbeer koi thahraayenge ham bezaar karenge khaatir ko pahle to tumhaari chaahat se phir dil ko bhi kuchh minnat se kuchh haibat se samjhaaenge ham gar kehna dil ne maan liya aur ruk baitha to behtar hai aur chain na lene devega to bhes badal kar aayenge ham awwal to nahin pahchaanoge aur loge bhi pahchaan to phir har taur se chhup kar dekhenge aur dil ko KHush kar jaayenge ham gar chhupna bhi khul jaavega to mil kar afsoon-saazon se kuchh aur hi latka seher-bhara us vaqt bahm pahunchaaenge ham jab vo bhi pesh na jaavega aur shohrat hovegi phir to jis soorat se ban aavega tasveer khincha mangwaayenge ham mauqoof karoge chhupne ko to behtar warna nazeer aasa jo harf zabaan par laayenge phir vo hi kar dikhlaayenge ham
Related Ghazal
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
tamanna phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao ye mausam hi badal jaa.e agar tum milne aa jaao mujhe gham hai ki maine zindagi men kuchh nahin paaya ye gham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere zamaana mujhse jal jaa.e agar tum milne aa jaao ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein bala har ek tal jaa.e agar tum milne aa jaao
Javed Akhtar
48 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nazeer Akbarabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nazeer Akbarabadi's ghazal.







