dil-baghh ki 'aziz kali chhin li gai vo lazmi thi aur vahi chhin li gai pahle hamari ankhon ki chhini gai chamak phir dhire dhire kar ke nami chhin li gai main chahta tha mujh ko khuda kar de sab 'ata sab kuchh 'ata hua to kami chhin li gai va'da hai thiik vaise hi chhinunga sab ke ghham jaise ki mujh se meri khushi chhin li gai sab sipiyan nikal ke dariya ke pet se dariya se us ki dariya-dili chhin li gai dil-bagh ki 'aziz kali chhin li gai wo lazmi thi aur wahi chhin li gai pahle hamari aankhon ki chhini gai chamak phir dhire dhire kar ke nami chhin li gai main chahta tha mujh ko khuda kar de sab 'ata sab kuchh 'ata hua to kami chhin li gai wa'da hai thik waise hi chhinunga sab ke gham jaise ki mujh se meri khushi chhin li gai sab sipiyan nikal ke dariya ke pet se dariya se us ki dariya-dili chhin li gai
Related Ghazal
phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii
Kumar Vishwas
53 likes
jahaan-jahaan pe tujhe gair ne chhua hua tha wahaan-wahaan pe meraa jism bhi jala hua tha shikast honi thii ye meraa pehla ishq tha aur vo be-vafa yahii karte hue badaa hua tha phir ek roz mujhe ye pata laga uske purane aashiqon ke saath bhi bura hua tha pitaa ke kehne se ladki ne ghar basa liya par maon is kahaanii men ladke ke saath kya hua tha
Kushal Dauneria
36 likes
na jee bhar ke dekha na kuchh baat ki badi aarzoo thii mulaqaat ki ujaalon ki pariyaan nahaane lagin nadi gungunaai khayaalaat ki main chup tha to chalti hawa ruk gaii zabaan sab samjhte hain jazbaat ki muqaddar mirii chashm-e-pur-aab ka barasti hui raat barsaat ki kaii saal se kuchh khabar hi nahin kahaan din guzaara kahaan raat ki
Bashir Badr
24 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aftab Alam Aas.
Similar Moods
More moods that pair well with Aftab Alam Aas's ghazal.







