dil dhadakne ka sabab yaad aaya vo tiri yaad thi ab yaad aaya aaj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat men ajab yaad aaya din guzara tha badi mushkil se phir tira vaada-e-shab yaad aaya tera bhula hua paiman-e-vafa mar rahenge agar ab yaad aaya phir kai log nazar se guzre phir koi shahr-e-tarab yaad aaya hal-e-dil ham bhi sunate lekin jab vo rukhsat hua tab yaad aaya baith kar saya-e-gul men 'nasir' ham bahut roe vo jab yaad aaya dil dhadakne ka sabab yaad aaya wo teri yaad thi ab yaad aaya aaj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat mein ajab yaad aaya din guzara tha badi mushkil se phir tera wada-e-shab yaad aaya tera bhula hua paiman-e-wafa mar rahenge agar ab yaad aaya phir kai log nazar se guzre phir koi shahr-e-tarab yaad aaya haal-e-dil hum bhi sunate lekin jab wo rukhsat hua tab yaad aaya baith kar saya-e-gul mein 'nasir' hum bahut roe wo jab yaad aaya
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
More from Nasir Kazmi
dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai
Nasir Kazmi
11 likes
jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai
Nasir Kazmi
2 likes
shahar sunsaan hai kidhar jaayein KHaak ho kar kahii bikhar jaayein raat kitnii guzar gaii lekin itni himmat nahin ki ghar jaayein yoon tire dhyaan se larzata hooñ jaise patte hawa se dar jaayein un ujaalon ki dhun men firta hooñ chhab dikhaate hi jo guzar jaayein rain andheri hai aur kinaara door chaand nikle to paar utar jaayein
Nasir Kazmi
1 likes
gali gali mirii yaad bichi hai pyaare rastaa dekh ke chal mujh se itni vehshat hai to mirii hadon se door nikal ek samay tira phool sa naazuk haath tha mire shaanon par ek ye vaqt ki main tanhaa aur dukh ke kaanton ka jungle yaad hai ab tak tujh se bichhadne ki vo andheri shaam mujhe tu KHaamosh khada tha lekin baatein karta tha kaajal main to ek nayi duniya ki dhun men bhatkata firta hooñ mirii tujh se kaise nibhegi ek hain tere fikr o amal meraa munh kya dekh raha hai dekh is kaali raat ko dekh main vahii teraa hamraahi hooñ saath mire chalna ho to chal
Nasir Kazmi
4 likes
dayaar-e-dil ki raat men charaaghh sa jala gaya mila nahin to kya hua vo shakl to dikha gaya vo dosti to KHair ab naseeb-e-dushmanan hui vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya judaaiyon ke zakham dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi neend aa gaii mujhe bhi sabr aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya
Nasir Kazmi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nasir Kazmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.







