ghazalKuch Alfaaz

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho is baat se ham ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho ik bheek ke dono kaase hain ik pyaas ke dono pyaase hain ham kheti hain tum baadal ho ham nadiyaan hain tum saagar ho ye dil hai ki jalte seene men ik dard ka phoda allahad sana gupt rahe na phoot bahe koi marham ho koi nishtar ho ham saanjh samay ki chaaya hain tum chadhti raat ke chandramaan ham jaate hain tum aate ho phir mel ki soorat kyunkar ho ab husn ka rutba aali hai ab husn se sehra khaali hai chal bastii men banjaara ban chal nagri men saudaagar ho jis cheez se tujh ko nisbat hai jis cheez ki tujh ko chaahat hai vo sona hai vo heera hai vo maati ho ya kankar ho ab insha'-ji ko bulaana kya ab pyaar ke deep jalana kya jab dhoop aur chaaya ek se hon jab din aur raat barabar ho vo raatein chaand ke saath gaiin vo baatein chaand ke saath gaiin ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

More from Ibn E Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka subh ka hona doobhar kar den rastaa rok sitaaron ka jhoote sikko men bhi utha dete hain ye akshar saccha maal shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge 'aashiq log tum se to itnaa ho saka hai poochho haal bechaaron ka jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usii ki khoj rahi yuñ to hamaare shahar men akshar mela laga nigaaron ka ek zaraa si baat thii jis ka charcha pahuncha gali gali ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka insha jee ab ajnabiyo'n men chain se baaki umr kate jin ki khaatir bastii chhodi naam na lo un pyaaron ka

Ibn E Insha

0 likes

ham un se agar mil baithe hain kya dosh hamaara hota hai kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai katne lagin raatein aankhoñ men dekha nahin palkon par akshar ya shaam-e-ghareebaan ka jugnoo ya subh ka taara hota hai ham dil ko li.e har des phire is jins ke gaahak mil na sake ai banjaaro ham log chale ham ko to khasaara hota hai daftar se uthe kaife men ga.e kuchh she'r kahe kuchh coffee pee poochho jo ma'aash ka insha'-ji yuñ apna guzaara hota hai

Ibn E Insha

0 likes

sunte hain phir chhup chhup un ke ghar men aate jaate ho insha sahab naahak jee ko vehshat men uljhaate ho dil ki baat chhupani mushkil lekin khoob chhupaate ho ban men daana shahar ke andar deewane kahlaate ho bekal bekal rahte ho par mehfil ke aadaab ke saath aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho peet men aise laakh jatan hain lekin ik din sab naakaam aap jahaan men rusva hoge vaaz ha men farmaate ho ham se naam junoon ka qaaim ham se dasht ki aabaa dii ham se dard ka shikwa karte ham ko zakham dikhaate ho

Ibn E Insha

0 likes

jog bijog ki baatein jhoothi sab jee ka bahaana ho phir bhi ham se jaate jaate ek ghazal sun jaana ho saari duniya akl ki bairi kaun yahaan par sayaana ho naahak naam dharen sab ham ko deewaana deewaana ho tum ne to ik reet banaa li sun lena sharmaana ho sab ka ek na ek thikaana apna kaun thikaana ho nagri nagri laakhon dwaare har dwaare par laakh sukhi lekin jab ham bhool chuke hain daaman ka phailaana ho tere ye kya jee men aayi kheench liye sharma kar hont ham ko zahar pilaane waali amrit bhi pilwaana ho ham bhi jhoothe tum bhi jhoothe ek isee ka saccha naam jis se deepak jalnaa seekha parwaana mar jaana ho seedhe man ko aan dabochhe meethi baatein sundar log meer nazeer kabeer aur insha sab ka ek gharaana ho

Ibn E Insha

1 likes

kal chaudahveen ki raat thii shab bhar raha charcha tira kuchh ne kaha ye chaand hai kuchh ne kaha chehra tira ham bhi wahin maujood the ham se bhi sab poocha ki.e ham hañs diye ham chup rahe manzoor tha parda tira is shahar men kis se milen ham se to chhootiin mahfilein har shaKHs teraa naam le har shaKHs deewaana tira kooche ko tere chhod kar jogi hi ban jaayen magar jungle tire parbat tire bastii tiri sehra tira ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi uftaadagi ehsaan hai kya kya tira ai husn-e-be-parwa tira do ashk jaane kis li.e palkon pe aa kar tik ga.e altaaf ki baarish tiri ikraam ka dariyaa tira ai be-daregh o be-amaan ham ne kabhi ki hai fugaan ham ko tiri vehshat sahi ham ko sahi sauda tira ham par ye saKHtii ki nazar ham hain faqeer-e-rahguzar rastaa kabhi roka tira daaman kabhi thaama tira haan haan tiri soorat haseen lekin tu aisa bhi nahin ik shaKHs ke ashaar se shohra hua kya kya tira bedard sunni ho to chal kahtaa hai kya achchhii ghazal aashiq tira rusva tira shaair tira insha tira

Ibn E Insha

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's ghazal.