ghazalKuch Alfaaz

ham un se agar mil baithe hain kya dosh hamaara hota hai kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai katne lagin raatein aankhoñ men dekha nahin palkon par akshar ya shaam-e-ghareebaan ka jugnoo ya subh ka taara hota hai ham dil ko li.e har des phire is jins ke gaahak mil na sake ai banjaaro ham log chale ham ko to khasaara hota hai daftar se uthe kaife men ga.e kuchh she'r kahe kuchh coffee pee poochho jo ma'aash ka insha'-ji yuñ apna guzaara hota hai

Related Ghazal

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai

Tehzeeb Hafi

90 likes

shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga

Tehzeeb Hafi

84 likes

More from Ibn E Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka subh ka hona doobhar kar den rastaa rok sitaaron ka jhoote sikko men bhi utha dete hain ye akshar saccha maal shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge 'aashiq log tum se to itnaa ho saka hai poochho haal bechaaron ka jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usii ki khoj rahi yuñ to hamaare shahar men akshar mela laga nigaaron ka ek zaraa si baat thii jis ka charcha pahuncha gali gali ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka insha jee ab ajnabiyo'n men chain se baaki umr kate jin ki khaatir bastii chhodi naam na lo un pyaaron ka

Ibn E Insha

0 likes

apne hamraah jo aate ho idhar se pahle dasht padta hai miyaan ishq men ghar se pahle chal diye uth ke soo-e-shahr-e-wafa koo-e-habeeb pooch lena tha kisi khaak-basar se pahle ishq pahle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha itne tadpe hain na ghabraaye na tarse pahle jee bahalta hi nahin ab koi sa'at koi pal raat dhalti hi nahin chaar pahar se pahle ham kisi dar pe na thitke na kahii dastak dii saikron dar the mirii jaañ tire dar se pahle chaand se aankh mili jee ka ujaala jaaga ham ko sau baar hui subh sehar se pahle

Ibn E Insha

0 likes

us shaam vo ruksat ka samaan yaad rahega vo shahar vo koocha vo makaan yaad rahega vo tees ki ubhri thii idhar yaad rahegi vo dard ki utha tha yahaañ yaad rahega ham shauq ke shole ki lapak bhool bhi jaayen vo sham-e-fasurda ka dhuaan yaad rahega haan bazm-e-shabaana men hama-shauq jo us din ham the tiri jaanib nigaraan yaad rahega kuchh meer ke abyaat the kuchh faiz ke misre ik dard ka tha jin men bayaañ yaad rahega aankhoñ men sulagti hui vehshat ke jilau men vo hairat o hasrat ka jahaan yaad rahega jaan-bakhsh si us barg-e-gul-e-tar ki taraawat vo lams-e-azeez-e-do-jahaan yaad rahega ham bhool sake hain na tujhe bhool sakenge tu yaad rahega ha men haan yaad rahega

Ibn E Insha

0 likes

shaam-e-gham ki sehar nahin hoti ya humeen ko khabar nahin hoti ham ne sab dukh jahaan ke dekhe hain bekli is qadar nahin hoti naala yoon na-rasa nahin rehta aah yuuñ be-asar nahin hoti chaand hai kahkashaan hai taare hain koi shay nama-bar nahin hoti dosto ishq hai KHataa lekin kya KHataa dar-guzar nahin hoti raat aa kar guzar bhi jaati hai ik hamaari sehar nahin hoti be-qaraari sahi nahin jaati zindagi mukhtasar nahin hoti ek din dekhne ko aa jaate ye havas umr bhar nahin hoti husn sab ko KHuda nahin deta har kisi ki nazar nahin hoti

Ibn E Insha

1 likes

sunte hain phir chhup chhup un ke ghar men aate jaate ho insha sahab naahak jee ko vehshat men uljhaate ho dil ki baat chhupani mushkil lekin khoob chhupaate ho ban men daana shahar ke andar deewane kahlaate ho bekal bekal rahte ho par mehfil ke aadaab ke saath aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho peet men aise laakh jatan hain lekin ik din sab naakaam aap jahaan men rusva hoge vaaz ha men farmaate ho ham se naam junoon ka qaaim ham se dasht ki aabaa dii ham se dard ka shikwa karte ham ko zakham dikhaate ho

Ibn E Insha

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's ghazal.