ghazalKuch Alfaaz

apne hamraah jo aate ho idhar se pahle dasht padta hai miyaan ishq men ghar se pahle chal diye uth ke soo-e-shahr-e-wafa koo-e-habeeb pooch lena tha kisi khaak-basar se pahle ishq pahle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha itne tadpe hain na ghabraaye na tarse pahle jee bahalta hi nahin ab koi sa'at koi pal raat dhalti hi nahin chaar pahar se pahle ham kisi dar pe na thitke na kahii dastak dii saikron dar the mirii jaañ tire dar se pahle chaand se aankh mili jee ka ujaala jaaga ham ko sau baar hui subh sehar se pahle

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain

Ahmad Faraz

65 likes

saare ka saara to meraa bhi nahin aur vo shaKHs be-vafa bhi nahin ghaur se dekhne pe boli hai shaa dii se pahle sochna bhi nahin achchhii sehat ka hai meraa mahboob dhoke dete hue thaka bhi nahin j itnaa barbaad kar diya tune utna aabaad to main tha bhi nahin mujh...ko bas itnaa deen aata hai jahaan main KHud nahin KHuda bhi nahin

Kushal Dauneria

43 likes

ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere

Umair Najmi

59 likes

More from Ibn E Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka subh ka hona doobhar kar den rastaa rok sitaaron ka jhoote sikko men bhi utha dete hain ye akshar saccha maal shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge 'aashiq log tum se to itnaa ho saka hai poochho haal bechaaron ka jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usii ki khoj rahi yuñ to hamaare shahar men akshar mela laga nigaaron ka ek zaraa si baat thii jis ka charcha pahuncha gali gali ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka insha jee ab ajnabiyo'n men chain se baaki umr kate jin ki khaatir bastii chhodi naam na lo un pyaaron ka

Ibn E Insha

0 likes

ham un se agar mil baithe hain kya dosh hamaara hota hai kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai katne lagin raatein aankhoñ men dekha nahin palkon par akshar ya shaam-e-ghareebaan ka jugnoo ya subh ka taara hota hai ham dil ko li.e har des phire is jins ke gaahak mil na sake ai banjaaro ham log chale ham ko to khasaara hota hai daftar se uthe kaife men ga.e kuchh she'r kahe kuchh coffee pee poochho jo ma'aash ka insha'-ji yuñ apna guzaara hota hai

Ibn E Insha

0 likes

sunte hain phir chhup chhup un ke ghar men aate jaate ho insha sahab naahak jee ko vehshat men uljhaate ho dil ki baat chhupani mushkil lekin khoob chhupaate ho ban men daana shahar ke andar deewane kahlaate ho bekal bekal rahte ho par mehfil ke aadaab ke saath aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho peet men aise laakh jatan hain lekin ik din sab naakaam aap jahaan men rusva hoge vaaz ha men farmaate ho ham se naam junoon ka qaaim ham se dasht ki aabaa dii ham se dard ka shikwa karte ham ko zakham dikhaate ho

Ibn E Insha

0 likes

raat ke KHvaab sunaayein kis ko raat ke KHvaab suhaane the dhundle dhundle chehre the par sab jaane-pahchaane the zid dii wahshi allahad chanchal meethe log raseele log hont un ke ghazalon ke misre aankhoñ men afsaane the vehshat ka unwaan hamaari un men se jo naar banii dekhenge to log kaheinge insha'-ji deewane the ye ladki to in galiyon men roz hi ghooma karti thii is se un ko milnaa tha to is ke laakh bahaane the ham ko saari raat jagaaya jalte bujhte taaron ne ham kyun un ke dar par utre kitne aur thikaane the

Ibn E Insha

2 likes

dil ishq men be-paayaan sauda ho to aisa ho dariyaa ho to aisa ho sehra ho to aisa ho ik khaal-e-suweida men pahnaai-e-do-aalam faila ho to aisa ho simtaa ho to aisa ho ai qais-e-junoon-pesha insha ko kabhi dekha wahshi ho to aisa ho rusva ho to aisa ho dariyaa b-hubaab-andar toofaan b-sahaab-andar mahshar b-hijaab-andar hona ho to aisa ho ham se nahin rishta bhi ham se nahin milta bhi hai paas vo baitha bhi dhoka ho to aisa ho vo bhi raha begaana ham ne bhi na pahchaana haan ai dil-e-deewaana apna ho to aisa ho is dard men kya kya hai ruswaai bhi lazzat bhi kaanta ho to aisa ho chubhta ho to aisa ho ham ne yahii maanga tha us ne yahii bakhsha hai banda ho to aisa ho daata ho to aisa ho

Ibn E Insha

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's ghazal.