ghazalKuch Alfaaz

raat ke KHvaab sunaayein kis ko raat ke KHvaab suhaane the dhundle dhundle chehre the par sab jaane-pahchaane the zid dii wahshi allahad chanchal meethe log raseele log hont un ke ghazalon ke misre aankhoñ men afsaane the vehshat ka unwaan hamaari un men se jo naar banii dekhenge to log kaheinge insha'-ji deewane the ye ladki to in galiyon men roz hi ghooma karti thii is se un ko milnaa tha to is ke laakh bahaane the ham ko saari raat jagaaya jalte bujhte taaron ne ham kyun un ke dar par utre kitne aur thikaane the

Related Ghazal

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai

Ali Zaryoun

61 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

More from Ibn E Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka subh ka hona doobhar kar den rastaa rok sitaaron ka jhoote sikko men bhi utha dete hain ye akshar saccha maal shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge 'aashiq log tum se to itnaa ho saka hai poochho haal bechaaron ka jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usii ki khoj rahi yuñ to hamaare shahar men akshar mela laga nigaaron ka ek zaraa si baat thii jis ka charcha pahuncha gali gali ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka insha jee ab ajnabiyo'n men chain se baaki umr kate jin ki khaatir bastii chhodi naam na lo un pyaaron ka

Ibn E Insha

0 likes

ham un se agar mil baithe hain kya dosh hamaara hota hai kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai katne lagin raatein aankhoñ men dekha nahin palkon par akshar ya shaam-e-ghareebaan ka jugnoo ya subh ka taara hota hai ham dil ko li.e har des phire is jins ke gaahak mil na sake ai banjaaro ham log chale ham ko to khasaara hota hai daftar se uthe kaife men ga.e kuchh she'r kahe kuchh coffee pee poochho jo ma'aash ka insha'-ji yuñ apna guzaara hota hai

Ibn E Insha

0 likes

shaam-e-gham ki sehar nahin hoti ya humeen ko khabar nahin hoti ham ne sab dukh jahaan ke dekhe hain bekli is qadar nahin hoti naala yoon na-rasa nahin rehta aah yuuñ be-asar nahin hoti chaand hai kahkashaan hai taare hain koi shay nama-bar nahin hoti dosto ishq hai KHataa lekin kya KHataa dar-guzar nahin hoti raat aa kar guzar bhi jaati hai ik hamaari sehar nahin hoti be-qaraari sahi nahin jaati zindagi mukhtasar nahin hoti ek din dekhne ko aa jaate ye havas umr bhar nahin hoti husn sab ko KHuda nahin deta har kisi ki nazar nahin hoti

Ibn E Insha

1 likes

jog bijog ki baatein jhoothi sab jee ka bahaana ho phir bhi ham se jaate jaate ek ghazal sun jaana ho saari duniya akl ki bairi kaun yahaan par sayaana ho naahak naam dharen sab ham ko deewaana deewaana ho tum ne to ik reet banaa li sun lena sharmaana ho sab ka ek na ek thikaana apna kaun thikaana ho nagri nagri laakhon dwaare har dwaare par laakh sukhi lekin jab ham bhool chuke hain daaman ka phailaana ho tere ye kya jee men aayi kheench liye sharma kar hont ham ko zahar pilaane waali amrit bhi pilwaana ho ham bhi jhoothe tum bhi jhoothe ek isee ka saccha naam jis se deepak jalnaa seekha parwaana mar jaana ho seedhe man ko aan dabochhe meethi baatein sundar log meer nazeer kabeer aur insha sab ka ek gharaana ho

Ibn E Insha

1 likes

apne hamraah jo aate ho idhar se pahle dasht padta hai miyaan ishq men ghar se pahle chal diye uth ke soo-e-shahr-e-wafa koo-e-habeeb pooch lena tha kisi khaak-basar se pahle ishq pahle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha itne tadpe hain na ghabraaye na tarse pahle jee bahalta hi nahin ab koi sa'at koi pal raat dhalti hi nahin chaar pahar se pahle ham kisi dar pe na thitke na kahii dastak dii saikron dar the mirii jaañ tire dar se pahle chaand se aankh mili jee ka ujaala jaaga ham ko sau baar hui subh sehar se pahle

Ibn E Insha

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's ghazal.