dil ki taraf hijab-e-takalluf utha ke dekh aina dekh aur zara muskura ke dekh is daur men ye tarz-e-jafa aazma ke dekh dil ke bajae dil ke sukun ko mita ke dekh taslim ki nazar se karishme raza ke dekh begangi-e-dost ko apna bana ke dekh is shorish-e-hayat ko had se badha ke dekh ye fitna aur hashr se pahle utha ke dekh yuun dekhta hai tirgi-e-ab-o-gil men kya sholon se khel dil ko jala aur jala ke dekh har zindagi ka naam na rakh dil ki zindagi iman zindagi pe na la aazma ke dekh teri tajalliyon se kisi tarah kam nahin dil ki tajalliyon ko kabhi dil men aa ke dekh ab ke ada-e-khas se kar imtihan-e-dil jo barq tuur par na giri ho gira ke dekh haan ahl-e-dil ke haal se ghhaflat muhal hai achchha yaqin nahin to mujhi ko bhula ke dekh duniya ko dekhna to mayassar nahin tujhe zarre ko dekhna hai to duniya bana ke dekh 'fani' safina ab bhi na duube to kya kare tufan ko na dekh sitam na-khuda ke dekh dil ki taraf hijab-e-takalluf utha ke dekh aaina dekh aur zara muskura ke dekh is daur mein ye tarz-e-jafa aazma ke dekh dil ke bajae dil ke sukun ko mita ke dekh taslim ki nazar se karishme raza ke dekh begangi-e-dost ko apna bana ke dekh is shorish-e-hayat ko had se badha ke dekh ye fitna aur hashr se pahle utha ke dekh yun dekhta hai tirgi-e-ab-o-gil mein kya sholon se khel dil ko jala aur jala ke dekh har zindagi ka nam na rakh dil ki zindagi iman zindagi pe na la aazma ke dekh teri tajalliyon se kisi tarah kam nahin dil ki tajalliyon ko kabhi dil mein aa ke dekh ab ke ada-e-khas se kar imtihan-e-dil jo barq tur par na giri ho gira ke dekh han ahl-e-dil ke haal se ghaflat muhaal hai achchha yaqin nahin to mujhi ko bhula ke dekh duniya ko dekhna to mayassar nahin tujhe zarre ko dekhna hai to duniya bana ke dekh 'fani' safina ab bhi na dube to kya kare tufan ko na dekh sitam na-khuda ke dekh
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Fani Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Fani Badayuni's ghazal.







