dil ko maal-e-'ishq se begana kijiye parvana kah raha hai ki parva na kijiye har khvab na-guzir hai har kaam farz hai kis kis se haath khinchiye kya kya na kijiye vo baat jo abhi abhi main ne nahin suni vo baat ho sake to dubara na kijiye mukhlis hain aur vo bhi mujh aise haqir se apne hi saath aap ye dhoka na kijiye kya sach men aap ji nahin sakte mire baghhair to phir koi javaz muhayya na kijiye itni bhi meri darguzari mustaqil nahin kitni daf'a kaha hai ki aisa na kijiye haan shukr to zarur baja laiye huzur lekin hamare zabt pe takiya na kijiye achchha hai infirad bhi apni jagah magar 'javvad' koi kaam to ulta na kijiye dil ko maal-e-'ishq se begana kijiye parwana kah raha hai ki parwa na kijiye har khwab na-guzir hai har kaam farz hai kis kis se hath khinchiye kya kya na kijiye wo baat jo abhi abhi main ne nahin suni wo baat ho sake to dubara na kijiye mukhlis hain aur wo bhi mujh aise haqir se apne hi sath aap ye dhoka na kijiye kya sach mein aap ji nahin sakte mere baghair to phir koi jawaz muhayya na kijiye itni bhi meri darguzari mustaqil nahin kitni daf'a kaha hai ki aisa na kijiye han shukr to zarur baja laiye huzur lekin hamare zabt pe takiya na kijiye achchha hai infirad bhi apni jagah magar 'jawwad' koi kaam to ulta na kijiye
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
jhoothon ne jhoothon se kaha hai sach bolo sarkaari elaan hua hai sach bolo ghar ke andar to jhoothon ki ek mandi hai darwaaze par likha hua hai sach bolo guldaste par yakjahti likh rakha hai guldaste ke andar kya hai sach bolo ganga maiya doobne waale apne the naav men kisne chhed kiya hai sach bolo
Rahat Indori
71 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jawad Sheikh.
Similar Moods
More moods that pair well with Jawad Sheikh's ghazal.







