ghazalKuch Alfaaz

dil men ab yuñ tere bhule huye gham aate hain jaise bichhde huye kaabe men sanam aate hain ik ik kar ke huye jaate hain taare raushan meri manzil ki taraf tere qadam aate hain raqs-e-may tez karo saaz ki lay tez karo soo-e-maikhana safeeraan-e-haram aate hain kuchh humeen ko nahin ehsaan uthaane ka dimaag vo to jab aate hain mail-ba-karam aate hain aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hain

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

phir hareef-e-bahaar ho baithe jaane kis kis ko aaj ro baithe thii magar itni raayegaan bhi na thii aaj kuchh zindagi se kho baithe tere dar tak pahunch ke laut aa.e ishq ki aabroo dubo baithe saari duniya se door ho jaa.e jo zaraa tere paas ho baithe na gaii teri be-rukhi na gaii ham tiri aarzoo bhi kho baithe faiz hota rahe jo hona hai she'r likhte raha karo baithe

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

qarz-e-nigaah-e-yaar ada kar chuke hain ham sab kuchh nisaar-e-raah-e-wafa kar chuke hain ham kuchh imtihaan-e-dast-e-jafa kar chuke hain ham kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain ham ab ehtiyaat ki koi soorat nahin rahi qaateel se rasm-o-raah siva kar chuke hain ham dekhen hai kaun kaun zaroorat nahin rahi koo-e-sitam men sab ko KHafaa kar chuke hain ham ab apna ikhtiyaar hai chahe jahaan chalen rahbar se apni raah juda kar chuke hain ham un ki nazar men kya karen feeka hai ab bhi rang jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain ham kuchh apne dil ki khoo ka bhi shukraana chahiye sau baar un ki khoo ka gilaa kar chuke hain ham

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

vo buton ne dale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khuda gaya vo padi hain roz qayaamaatein ki khayal-e-roz-e-jaza gaya jo nafs tha khaar-e-guloo banaa jo uthe the haath lahu hue vo nashaat-e-aah-e-sehr gaii vo waqar-e-dast-e-dua gaya na vo rang fasl-e-bahaar ka na ravish vo abr-e-bahaar ki jis ada se yaar the aashna vo mizaaj-e-baad-e-saba gaya jo talab pe ahad-e-wafaa kiya to vo aabroo-e-wafa gaii sar-e-aam jab hue muddai to sawaab-e-sidq-o-safa gaya abhii baadbaan ko tah rakho abhii muztarib hai rukh-e-hawa kisi raaste men hai muntazir vo sukoon jo aa ke chala gaya

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.