din men is tarah mire dil men samaya suraj raat ankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj apni to raat bhi jalte hi kati din ki tarah raat ko so to gaya din ka sataya suraj subh nikla kisi dulhan ki damak rukh pe liye shaam duuba kisi beva sa bujhaya suraj raat ko main mira saaya the ikatthe donon le gaya chhin ke din ko mira saaya suraj din guzarta na tha kam-bakht ka tanha jalte vadi-e-shab se mujhe dhund ke laaya suraj tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko tab se din men bhi na mujh ko nazar aaya suraj asman ek sulagta hua sahra hai jahan dhundhta phirta hai khud apna hi saaya suraj din ko jis ne hamen nezon pe chadhae rakkha shab ko ham ne vahi palkon pe sulaya suraj din mein is tarah mere dil mein samaya suraj raat aankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj apni to raat bhi jalte hi kati din ki tarah raat ko so to gaya din ka sataya suraj subh nikla kisi dulhan ki damak rukh pe liye sham duba kisi bewa sa bujhaya suraj raat ko main mera saya the ikatthe donon le gaya chhin ke din ko mera saya suraj din guzarta na tha kam-bakht ka tanha jalte wadi-e-shab se mujhe dhund ke laya suraj tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko tab se din mein bhi na mujh ko nazar aaya suraj aasman ek sulagta hua sahra hai jahan dhundhta phirta hai khud apna hi saya suraj din ko jis ne hamein nezon pe chadhae rakkha shab ko hum ne wahi palkon pe sulaya suraj
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Azad Gulati.
Similar Moods
More moods that pair well with Azad Gulati's ghazal.







