ghazalKuch Alfaaz

do-rangi khuub naiin yak-rang ho ja sarapa mom ho ya sang ho ja tujhe jyuun ghhuncha gar hai dard ki bu lahu ka ghunt pi dil-tang ho ja kaha kis tarah dil ne tujh kuun ai ghham ki dil ki aarsi par zang ho ja yahi aahon ke taron men sada hai ki bar-e-ghham siin kham jyuun chang ho ja dua hai ai rah-e-ghham tul-e-umr ka qadam par hai to sau farsang ho ja gale men daal rusvai ki alfi alif khinch aah ka be-nang ho ja birah ki aag men sabit-qadam chal 'siraj' ab shama ka ham-rang ho ja do-rangi khub nain yak-rang ho ja sarapa mom ho ya sang ho ja tujhe jyun ghuncha gar hai dard ki bu lahu ka ghunt pi dil-tang ho ja kaha kis tarah dil ne tujh kun ai gham ki dil ki aarsi par zang ho ja yahi aahon ke taron mein sada hai ki bar-e-gham sin kham jyun chang ho ja dua hai ai rah-e-gham tul-e-umr ka qadam par hai to sau farsang ho ja gale mein dal ruswai ki alfi alif khinch aah ka be-nang ho ja birah ki aag mein sabit-qadam chal 'siraj' ab shama ka ham-rang ho ja

Related Ghazal

mire dil ki raakh kured mat ise muskuraa ke hawa na de ye charaaghh phir bhi charaaghh hai kahii teraa haath jala na de naye daur ke naye KHvaab hain naye mausamon ke gulaab hain ye mohabbaton ke charaaghh hain inhen nafratoin ki hawa na de zaraa dekh chaand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamaam shab tira naam likkha hai ret par koi lehar aa ke mita na de main udaasiyaan na saja sakoon kabhi jism-o-jaan ke mazaar parna diye jalen mirii aankh men mujhe itni sakht saza na de mire saath chalne ke shauq men badi dhoop sar pe uthaaega tira naak naqsha hai mom ka kahii gham ki aag ghula na de main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karoon mirii saltanat mira fan rahe mujhe taaj-o-takht KHuda na de

Bashir Badr

7 likes

ya rab ye jahaan-e-guzraan khoob hai lekin kyun khwaar hain mardaan-e-safa-kesh o hunar-mand go is ki khudaai men mahaajan ka bhi hai haath duniya to samjhti hai farangi ko khuda-wand tu barg-e-gaya hai na vahii ahl-e-khirad raa o kisht-e-gul-o-laala b-bakhshad b-khare chand haazir hain kaleesa men kebab o may-e-gulgoo'n masjid men dhara kya hai b-juz mau'izaa o pand ahkaam tire haq hain magar apne mufassir taawil se quraan ko banaa sakte hain paazand firdaus jo teraa hai kisi ne nahin dekha afrang ka har qaryaa hai firdaus ki maanind muddat se hai aawaara-e-aflaak miraa fikr kar de ise ab chaand ke ghaaron men nazar-band fitrat ne mujhe bakshe hain jauhar malaakooti KHaaki hooñ magar KHaak se rakhta nahin paivand darvesh-e-khuda-mast na sharqi hai na garbi ghar miraa na dilli na safaahaan na samarkand kahtaa hooñ vahii baat samajhta hooñ jise haq ne aabla-e-masjid hooñ na tahzeeb ka farzand apne bhi KHafaa mujh se hain begaane bhi na-khush main zahar-e-halaahal ko kabhi kah na sakaa qand mushkil hai ik banda-e-haq-been-o-haq-andesh khaashaak ke tode ko kahe koh-e-damaavand hooñ aatish-e-namrood ke sholoon men bhi KHaamosh main banda-e-momin hooñ nahin daana-e-aspand pur-soz nazar-baaz o niko-been o kam aarzoo azaad o girftaar o tahee keesa o khursand har haal men miraa dil-e-be-qaid hai khurram kya chheenega gunche se koi zauq-e-shakar-khand chup rah na sakaa hazrat-e-yazdaan men bhi iqbaal karta koi is banda-e-gustaakh ka munh band

Allama Iqbal

1 likes

saanche men ham ne aur ke dhalne nahin diya dil mom ka tha phir bhi pighalne nahin diya haathon ki ot de ke jala leen hatheliyaan ai shama' tujh ko ham ne machalne nahin diya duniya ne bahut chaaha ki dil jaanwar bane main ne hi us ko jism badlne nahin diya zid ye thii vo jalega tumhaare hi haath seus zid ne ek charaaghh ko jalne nahin diya chehre ko aaj tak bhi teraa intizaar hai ham ne gulaal aur ko malne nahin diya baahar ki thokron se to bach kar nikal ga.e paanv ko apni moch ne chalne nahin diya

Kunwar Bechain

5 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

thaanii thii dil men ab na milenge kisi se ham par kya karen ki ho ga.e naachaar jee se ham hansate jo dekhte hain kisi ko kisi se ham munh dekh dekh rote hain kis bekasi se ham ham se na bolo tum ise kya kahte hain bhala insaaf kijeye poochte hain aap hi se ham be-zaar jaan se jo na hote to maangte shaahid shikaayaton pe tiri muddai se ham us koo men ja marengay madad ai hujoom-e-shauq aaj aur zor karte hain be-taaqati se ham sahab ne is ghulaam ko azaad kar diya lo bandagi ki chhoot ga.e bandagi se ham in na-taavaniyon pe bhi the khaar-e-raah-e-ghair hoonai nikale jaate na us ki gali se ham munh dekhne se pahle bhi kis din vo saaf tha be-wajah kyun ghubaar rakhen aarsi se ham hai chhed ikhtilaat bhi ghairoon ke saamne hansne ke badle royen na kyun gudgu dii se ham vehshat hai ishq-e-parda-nasheen men dam-e-buka munh dhaankte hain parda-e-chashm-e-paree se ham kya dil ko le gaya koi begaana-aashnaa kyun apne jee ko lagte hain kuchh ajnabi se ham le naam aarzoo ka to dil ko nikaal len mumin na hon jo rabt rakhen bid'aati se ham

Momin Khan Momin

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Siraj Aurangabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Siraj Aurangabadi's ghazal.