ghazalKuch Alfaaz

duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai maut mile to muft na luun hasti ki kya hasti hai abadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain jo ujde aur phir na base dil vo nirali basti hai khud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain niist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kamil ke jalve pasti hai to bulandi hai raz-e-bulandi pasti hai jaan si shai bik jaati hai ek nazar ke badle men aage marzi gahak ki in damon to sasti hai vahshat-e-dil se phirna hai apne khuda se phir jaana divane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai jag suuna hai tere baghhair ankhon ka kya haal hua jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai aansu the so khushk hue ji hai ki umda aata hai dil pe ghata si chhai hai khulti hai na barasti hai dil ka ujadna sahl sahi basna sahl nahin zalim basti basna khel nahin baste baste basti hai 'fani' jis men aansu kya dil ke lahu ka kaal na tha haae vo aankh ab paani ki do bundon ko tarasti hai duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai aabaadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain jo ujde aur phir na base dil wo nirali basti hai khud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain nist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kaamil ke jalwe pasti hai to bulandi hai raaz-e-bulandi pasti hai jaan si shai bik jati hai ek nazar ke badle mein aage marzi gahak ki in damon to sasti hai wahshat-e-dil se phirna hai apne khuda se phir jaana diwane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai jag suna hai tere baghair aankhon ka kya haal hua jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai aansu the so khushk hue ji hai ki umda aata hai dil pe ghata si chhai hai khulti hai na barasti hai dil ka ujadna sahl sahi basna sahl nahin zalim basti basna khel nahin baste baste basti hai 'fani' jis mein aansu kya dil ke lahu ka kal na tha hae wo aankh ab pani ki do bundon ko tarasti hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

More from Fani Badayuni

khalk kahti hai jise dil tire deewane ka ek gosha hai ye duniya isee veeraane ka ik muamma hai samajhne ka na samjhaane ka zindagi kahe ko hai KHvaab hai deewane ka husn hai zaat mirii ishq sifat hai mirii hoonto main shama' magar bhes hai parwaane ka kaabe ko dil ki ziyaarat ke li.e jaata hooñ aastaana hai haram mire sanam-khaane ka mukhtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta hooñ raaz-e-kaunain khulasa hai is afsaane ka zindagi bhi to pashemaanhai yahaanla ke mujhe dhoondhti hai koi heela mire mar jaane ka tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang aao dekho na tamasha mire gham-khaane ka ab ise daar pe le ja ke sula de saaqi yoonbahakna nahin achha tire mastaane ka dil se pahunchee to hain aankhoñ men lahu ki boonden silsila sheeshe se milta to hai paimaane ka haddiyaanhain kaii lipti hui zanjeeron men li.e jaate hain janaaza tire deewane ka wahdat-e-husn ke jalvo ki ye kasrat ai ishqdil ke har zarre men aalam hai paree-khaane ka chashm-e-saaqi asar-e-may se nahin hai gul-rang dil mire KHoon se labreiz hai paimaane ka lauh dil ko gham-e-ulfat ko qalam kahte hain kun hai andaaz-e-raqam husn ke afsaane ka ham ne chaani hain bahut dair o haram ki galiyaan kahii paaya na thikaana tire deewane ka kis ki aañkhen dam-e-aakhir mujhe yaad aayi hain dil murqqaahai chhalakte hue paimaane ka kahte hain kya hi maze ka hai fasana faani aap ki jaan se door aap ke mar jaane ka har nafs umr-e-guzishta ki hai mayyat faani zindagi naam hai mar mar ke ji.e jaane ka

Fani Badayuni

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Fani Badayuni.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Fani Badayuni's ghazal.