ek ik lamha guzara ja raha hai hosh men ai zahe-qismat jo hain tufan ki aghhosh men ab ye aalam hai hamara bandagi ke josh men ek sajda be-khudi men ek sajda hosh men maslahat kuchh bhi na kahne de to is ka kya ilaaj jaane kitni dastanen hain lab-e-khamosh men uf ye sailab-e-havadis haae ye tufan-e-ghham yuun bhi laata hoga divane ko koi hosh men dar hai ahl-e-karvan ki tezi-e-raftar se apni manzil bhi na kho baithen kisi din josh men samne mahshar ho ya kaunain chahe kuchh bhi ho un ka divana to ab aata nahin hai hosh men 'kaif' se puchhe koi tere karam ki vusaten us ne dekha hai do-alam ko tiri aghhosh men ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein ai zahe-qismat jo hain tufan ki aaghosh mein ab ye aalam hai hamara bandagi ke josh mein ek sajda be-khudi mein ek sajda hosh mein maslahat kuchh bhi na kahne de to is ka kya ilaj jaane kitni dastanen hain lab-e-khamosh mein uf ye sailab-e-hawadis hae ye tufan-e-gham yun bhi lata hoga diwane ko koi hosh mein dar hai ahl-e-karwan ki tezi-e-raftar se apni manzil bhi na kho baithen kisi din josh mein samne mahshar ho ya kaunain chahe kuchh bhi ho un ka diwana to ab aata nahin hai hosh mein 'kaif' se puchhe koi tere karam ki wusaten us ne dekha hai do-alam ko teri aaghosh mein
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaif Moradaabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaif Moradaabadi's ghazal.







