ek parwaaz dikhaai dii hai teri awaaz sunaai dii hai sirf ik safha palat kar us ne saari baaton ki safaai dii hai phir wahin laut ke jaana hogaa yaar ne kaisi rihaai dii hai jis ki aankhoñ men kati theen sadiyaanus ne sadiyon ki judaai dii hai zindagi par bhi koi zor nahin dil ne har cheez paraai dii hai aag men kya kya jala hai shab bhar kitnii khush-rang dikhaai dii hai
Related Ghazal
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai
Ahmad Abdullah
50 likes
vo ek pakshi jo gunjan kar raha hai vo mujh men prem srijan kar raha hai bahut din ho gaye hai tumse bichhde tumhein milne ko ab man kar raha hai nadi ke shaant tat par baithkar man teri yaaden visarjan kar raha hai
Azhar Iqbal
61 likes
tumhaara kya hai tumhein sirf gyaan dena hai hamaari socho ha men imtihaan dena hai gulaab bhi hain gulaabon men khaar bhi hain bataa nishaani deni hai ya phir nishaan dena hai teraa sawaal meri jaan ka sawaal hai aur javaab dene se aasaan jaan dena hai unhonne apne mutaabiq saza suna dii hai ha men saza ke mutaabiq bayaan dena hai ye bezubaanon ki mehfil hai dost yaad rahe yahaañ KHamoshii ka matlab zubaan dena hai
Charagh Sharma
39 likes
zindagi se badi saza hi nahin aur kya jurm hai pata hi nahin itne hisson men bat gaya hooñ main mere hisse men kuchh bacha hi nahin zindagi maut teri manzil hai doosra koii raasta hi nahin sach ghate ya badhe to sach na rahe jhooth kii koii intiha hi nahin zindagi ab bataa kahaan jaayen zahar bazaar men mila hi nahin jis ke kaaran fasaad hote hainus ka koii ata-pata hi nahin kaise avtaar kaise paighambar aisa lagta hai ab KHuda hi nahin chahe sone ke fra men men jad do aaina jhooth bolta hi nahin apni rachnaon men vo zinda hai noor sansaar se gaya hi nahin
Krishna Bihari Noor
37 likes
More from Gulzar
aisa KHaamosh to manzar na fana ka hota mirii tasveer bhi girti to chhanaaka hota yuñ bhi ik baar to hota ki samundar bahta koi ehsaas to dariyaa ki ana ka hota saans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti koi jhonka tiri palkon ki hawa ka hota kaanch ke paar tire haath nazar aate hain kaash KHushboo ki tarah rang hina ka hota kyun mirii shakl pahan leta hai chhupne ke li.e ek chehra koi apna bhi KHuda ka hota
Gulzar
3 likes
tujh ko dekha hai jo dariyaa ne idhar aate hue kuchh bhanwar doob ga.e paani men chakrate hue ham ne to raat ko daanton se pakad kar rakha cheena-jhapati men ufuq khulta gaya jaate hue main na hoonga to khizaan kaise kategi teri shokh patte ne kaha shaakh se murjhate hue hasratein apni bilaktiin na yatiimon ki tarah ham ko awaaz hi de lete zaraa jaate hue si li.e hont vo paakizaa nigaahen sun kar mailee ho jaati hai awaaz bhi dohraate hue
Gulzar
1 likes
zikr aa.e to mire lab se duaaein niklen shama' jaltee hai to laazim hai shuaaein niklen vaqt ki zarb se kat jaate hain sab ke seene chaand ka chhalaka utar jaa.e to qaashein niklen dafn ho jaayen ki zarkhez zameen lagti hai kal isee miTTi se shaayad mirii shaakhen niklen chand ummeedein nichodhi theen to aahen tapkiin dil ko pighlaayein to ho saka hai saansen niklen ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khursheed ghaar men haath na daalo kahii raatein niklen
Gulzar
2 likes
koi atka hua hai pal shaayad vaqt men pad gaya hai bal shaayad lab pe aayi mirii ghazal shaayad vo akelaa hain aaj-kal shaayad dil agar hai to dard bhi hogaa is ka koi nahin hai hal shaayad jaante hain savaab-e-rehm-o-karam un se hota nahin amal shaayad aa rahi hai jo chaap qadmon ki khil rahe hain kahii kanwal shaayad raakh ko bhi kured kar dekho abhii jalta ho koi pal shaayad chaand doobe to chaand hi nikle aap ke paas hogaa hal shaayad
Gulzar
9 likes
shaam se aaj saans bhari hai be-qaraari si be-qaraari hai aap ke baad har ghadi ham ne aap ke saath hi guzaari hai raat ko de do chaandni ki rida din ki chadar abhii utaari hai shaakh par koi qahqaha to khile kaisi chup si chaman men taari hai kal ka har vaqiaa' tumhaara tha aaj ki daastaan hamaari hai
Gulzar
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Gulzar.
Similar Moods
More moods that pair well with Gulzar's ghazal.







