fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun zikr-e-murghhan-e-giraftar karun ya na karun qissa-e-sazish-e-aghhyar kahun ya na kahun shikva-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun jaane kya vaza hai ab rasm-e-vafa ki ai dil vaz-e-derina pe israr karun ya na karun jaane kis rang men tafsir karen ahl-e-havas madh-e-zulf-o-lab-o-rukhsar karun ya na karun yuun bahar aai hai imsal ki gulshan men saba puchhti hai guzar is baar karun ya na karun goya is soch men hai dil men lahu bhar ke gulab daman o jeb ko gulnar karun ya na karun hai faqat murghh-e-ghhazal-khvan ki jise fikr nahin moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun qissa-e-sazish-e-aghyar kahun ya na kahun shikwa-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun jaane kya waza hai ab rasm-e-wafa ki ai dil waz-e-derina pe israr karun ya na karun jaane kis rang mein tafsir karen ahl-e-hawas madh-e-zulf-o-lab-o-rukhsar karun ya na karun yun bahaar aai hai imsal ki gulshan mein saba puchhti hai guzar is bar karun ya na karun goya is soch mein hai dil mein lahu bhar ke gulab daman o jeb ko gulnar karun ya na karun hai faqat murgh-e-ghazal-khwan ki jise fikr nahin moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun
Related Ghazal
ye aur baat tere dil men ghar nahin karunga par is makaam se aage safar nahin karunga duaaein kya doon use zindagi ki itnaa hai main zahar hooñ magar us par asar nahin karunga kisi se jhoothi mohabbat kisi se saccha bair main kar to saka hooñ ye sab magar nahin karunga davaam bakhsh to saka hooñ khaamoshi ko magar ye kaam main kisi awaaz par nahin karunga ki.e jo waqt par uskaa maal dekh chuka koi bhi kaam main ab waqt par nahin karunga guzaar dooñga main apne firaq men KHud ko KHud apne hone ki KHud ko khabar nahin karunga
Abhishek shukla
7 likes
main ro ke aah karunga jahaan rahe na rahe zameen rahe na rahe aasmaañ rahe na rahe rahe vo jaan-e-jahaan ye jahaan rahe na rahe makeen ki KHair ho ya rab makaan rahe na rahe abhii mazaar par ahbaab faatiha padh len phir is qadar bhi hamaara nishaan rahe na rahe KHuda ke vaaste kalmaa buton ka padh zaahid phir ikhtiyaar men ghaafil zabaan rahe na rahe khizaan to KHair se guzri chaman men bulbul ki bahaar aayi hai ab aashiyaan rahe na rahe chala to hooñ paye izhaar-e-dard-e-dil dekhooñ huzoor-e-yaar majaal-e-bayaan rahe na rahe ameer jama hain ahbaab dard-e-dil kah le phir iltifaat-e-dil-e-dostaan rahe na rahe
Ameer Minai
1 likes
la pila de saaqiya paimaana paimaane ke baa'd baat matlab ki karunga hosh aa jaane ke baa'd jo jalata hai kisi ko KHud bhi jalta hai zaroor shama' bhi jaltee rahi parwaana jal jaane ke baa'd dil mira lene ki khaatir minnaten kya kya na keen kaise nazrein fer leen matlab nikal jaane ke baa'd uth chalo bas e zafar is mahfil-e-aghyaar se warna peeni hi padegi daur chal jaane ke baa'd
Unknown
6 likes
thak ga.e ham zindagi se jee rahe hain bebaasi se ab padhaai hi karunga bhar gaya man aashiqi se dost tumse poochna tha kuchh mila kya dushmani se hooñ akela zindagi men mujh...ko kya hai farvari se jal rahe hain abke saare aadmi hi aadmi se
Kabir Altamash
3 likes
meraa khazana zamaane ke haath ja na lage tujhe kisi kii kisi ko teri hawa na lage main ek jism ko chakhna to chahta hooñ magar kuchh is tarah ki mere munh ko zaika na lage ha men laga so laga khud-aziyyati ka nasha dua karo ki tumhein baddua dua na lage dua karo ki kisi ka na dil lage tumse lage to aur kisi se laga hua na lage hasad kiya ho tere rizq se kabhi maine to mujh...ko apni kamaai hui ghiza na lage ha men hi ishq kii tashheer chahiye varna pata na lagne diya jaa.e to pata na lage pada raha main kisi aur hi bakhede men bahut se qeemti jazbe kisi disha na lage banaa raha hooñ tasavvur men ek muddat se ek aisa shahar jise koii raasta na lage ha men to usse muhabbat hai aur behad hai agar use nahin lagta to kya hua na lage kise khushi nahin hoti sarahae jaane kii magar vo dost hi kya hai jo aaina na lage kabhi khabaar jo rakhne lage zabaan ka bharam vo ab bhi kya nahin lagta majeed kya na lage yahii kahunga ki javvaad bach bacha ke zaraa agar kisi ka raviya baradara na lage
Jawwad Sheikh
21 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
rah-e-khizan men talaash-e-bahaar karte rahe shab-e-siyah se talab husn-e-yaar karte rahe khayaal-e-yaar kabhi zikr-e-yaar karte rahe isee mataa pe ham rozgaar karte rahe nahin shikaayat-e-hijraan ki is vaseele se ham un se rishta-e-dil ustuvaar karte rahe vo din ki koi bhi jab vajh-e-intizaar na thii ham un men teraa siva intizaar karte rahe ham apne raaz pe naazaan the sharmasaar na the har ek se sukhan-e-raaz-daar karte rahe ziya-e-bazm-e-jahaan baar baar maand hui hadees-e-shola-rukhaan baar baar karte rahe unhin ke faiz se bazaar-e-aql raushan hai jo gaah gaah junoon ikhtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.







