gair kii baaton ka aaKHir aitbaar aa hi gaya meri jaanib se tere dil men ghubaar aa hi gaya jaanta tha kha raha hai bevafaa jhoothi qasam saadgi dekho ki phir bhi aitibaar aa hi gaya poochne waalon se to maine chhupaaya dil ka raaz phir bhi teraa naam lab pe ek baar aa hi gaya tu na aaya o vafaa dushman to kya ham mar gaye chand din tadpa ki.e aaKHir qaraar aa hi gaya jee men tha ai hashr us se ab na bolenge kabhi bevafaa jab saamne aaya to pyaar aa hi gaya
Related Ghazal
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai
Mehshar Afridi
73 likes
mujh men kitne raaz hain batlaaoon kya band ek muddat se hooñ khul jaaun kya aajizi minnat khushamad iltijaa aur main kya kya karoon mar jaaun kya tere jalse men teraa parcham li.e saikron laashen bhi hain ginwaaoon kya kal yahaan main tha jahaan tum aaj ho main tumhaari hi tarah itraaoon kya ek patthar hai vo meri raah ka gar na thukraaoon to thokar khaaoon kya phir jagaaya tune soye she'r ko phir vahii lahjaa daraazi aaun kya
Rahat Indori
56 likes
umr guzregi imtihaan men kya daagh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mire bayaan men kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahii hota hai khaandaan men kya apni mahroomiyaan chhupaate hain ham ghareebon ki aan-baan men kya KHud ko jaana juda zamaane se aa gaya tha mire gumaan men kya shaam hi se dukaan-e-deed hai band nahin nuksaan tak dukaan men kya ai mire subh-o-shaam-e-dil ki shafaq tu nahaati hai ab bhi baan men kya bolte kyun nahin mire haq men aable pad ga.e zabaan men kya KHaamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire gumaan men kya dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut KHud bhi aata hai apne dhyaan men kya vo mile to ye poochna hai mujhe ab bhi hooñ main tiri amaan men kya yuñ jo takta hai aasmaan ko tu koi rehta hai aasmaan men kya hai naseem-e-bahaar gard-aalood KHaak udti hai us makaan men kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya
Jaun Elia
61 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega
Tehzeeb Hafi
174 likes
More from Agha Hashr Kashmiri
tum aur fareb khao bayaan-e-raqeeb se tum se to kam gilaa hai ziyaada naseeb se goya tumhaari yaad hi meraa ilaaj hai hota hai paharon zikr tumhaara tabeeb se barbaad dil ka aakhiri sarmaaya thii umeed vo bhi to tum ne cheen liya mujh gareeb se dhundla chali nigaah dam-e-waapsi hai ab aa paas aa ke dekh luun tujh ko qareeb se
Agha Hashr Kashmiri
0 likes
yaad men teri jahaan ko bhoolta jaata hooñ main bhoolne waale kabhi tujh ko bhi yaad aata hooñ main ek dhundla sa tasavvur hai ki dil bhi tha yahaañ ab to seene men faqat ik tees si paata hooñ main o wafa-na-aashnaa kab tak sunoon teraa gilaa be-wafa kahte hain tujh ko aur sharmaata hooñ main aarzooon ka shabaab aur marg-e-hasrat h aa.e h aa.e jab bahaar aa.e gulistaan men to murjhata hooñ main hashr meri sher-goi hai faqat fariyaad-e-shauq apna gham dil ki zabaan men dil ko samjhaata hooñ main
Agha Hashr Kashmiri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Agha Hashr Kashmiri.
Similar Moods
More moods that pair well with Agha Hashr Kashmiri's ghazal.







