ghham ki saughhat hai khamoshi hai chandni raat hai khamoshi hai main akela nahin ki baten hon vo mire saat hai khamoshi hai meri barbadiyon ki sazish men zabt ka haat hai khamoshi hai kaisa aaseb hai ki har janib jashn-e-jazbat hai khamoshi hai vaqt ke zakhm zakhm honton par an-kahi baat hai khamoshi hai phir usi tarah garm mathe par kanpta haath hai khamoshi hai subh-e-nau ho ki sham-e-ghham 'aslam' gosha-e-zat hai khamoshi hai gham ki saughat hai khamoshi hai chandni raat hai khamoshi hai main akela nahin ki baaten hon wo mere sat hai khamoshi hai meri barbaadiyon ki sazish mein zabt ka hat hai khamoshi hai kaisa aaseb hai ki har jaanib jashn-e-jazbaat hai khamoshi hai waqt ke zakhm zakhm honton par an-kahi baat hai khamoshi hai phir usi tarah garm mathe par kanpta hath hai khamoshi hai subh-e-nau ho ki sham-e-gham 'aslam' gosha-e-zat hai khamoshi hai
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aslam Kolsarii.
Similar Moods
More moods that pair well with Aslam Kolsarii's ghazal.







