ghazalKuch Alfaaz

garj-baras pyaasi dharti par phir paani de maula chidiyon ko daane bacchon ko gud-dhaani de maula do aur do ka jod hamesha chaar kahaan hota hai soch samajh waalon ko thodii nadaani de maula phir raushan kar zahar ka pyaala chamka nayi saleeben jhooton ki duniya men sach ko tabaani de maula phir moorat se baahar aa kar chaaron or bikhar ja phir mandir ko koi meera deewani de maula tere hote koi kis ki jaan ka dushman kyun ho jeene waalon ko marne ki aasaani de maula

Nida Fazli1 Likes

Related Ghazal

aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha

Zubair Ali Tabish

48 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham

Jaun Elia

67 likes

tamanna phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao ye mausam hi badal jaa.e agar tum milne aa jaao mujhe gham hai ki maine zindagi men kuchh nahin paaya ye gham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere zamaana mujhse jal jaa.e agar tum milne aa jaao ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein bala har ek tal jaa.e agar tum milne aa jaao

Javed Akhtar

48 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage

Nida Fazli

1 likes

dukh men neer baha dete the sukh men hansne lagte the seedhe-saade log the lekin kitne achchhe lagte the nafrat chadhti aandhi jaisi pyaar ubalte chashmon sa bairi hooñ ya sangi saa thii saare apne lagte the bahte paani dukh-sukh baanten ped bade boodhon jaise bacchon ki aahat sunte hi khet lahakne lagte the nadiya parbat chaand nigaahen maala ek kaii daane chhote chhote se aangan bhi koson phaile lagte the

Nida Fazli

2 likes

girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.