ghazalKuch Alfaaz

garjati hai barasti hai manaati hai vahii ladki pareeshaan jab bhi hota hooñ hansaati hai vahii ladki shikaayat karti hai vo bhi magar andaaz aisa hai liptati hai gale kas ke lagati hai vahii ladki jahaan men jitni khoobi hain mujhe sab us men dikhti hainna koi aur mujh...ko sirf bhaati hai vahii ladki vo kitnii khoobsurat hai main sabko ab bataaoonga hua hai ye mere sapnon men aati hai vahii ladki hañsi men jab bhi kahtaa hooñ main tumko bhool jaaunga ro-rokar yaar tab gussa dikhaati hai vahii ladki na jaane kya kya kahti hai mere beemaar hone par mujhe sach men bahut baatein sunaati hai vahii ladki

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

aziyyat hai ki roz-o-shab ghutan mehsoos hoti hai bhale hon paas mere sab ghutan mehsoos hoti hai ghutan meri deewani hai ghutan ka main deewaana hooñ zamaane ko bina matlab ghutan mehsoos hoti hai mujhe tujh par nahin KHud par bahut afsos hota hai tere hote hue bhi jab ghutan mehsoos hoti hai vahii jis baag men sab log taza saans lete hain mujhe us baag men bhi ab ghutan mehsoos hoti hai

Ahmad Abdullah

26 likes

ham apne dukh ko gaane lag ga.e hain magar is men zamaane lag ga.e hain kisi ki tarbiyat ka hai karishma ye aañsu muskuraane lag ga.e hain kahaanii rukh badalna chahti hai naye kirdaar aane lag ga.e hain ye haasil hai mirii KHaamoshiyon ka ki patthar aazmaane lag ga.e hain ye mumkin hai kisi din tum bhi aao parinde aane jaane lag ga.e hain jinhen ham manzilon tak le ke aa.e vahii rastaa bataane lag ga.e hain sharaafat rang dikhlaati hai daanish kaii dushman thikaane lag ga.e hain

Madan Mohan Danish

27 likes

koi haseen to koi dardnaak samjhega meraa mijaaz vahii theek thaak samjhega main jis ke saath kaii raaton se hoon us ka naam bataa to doonga magar tu mazaak samjhega vo jis hisaab se gaata hai us se lagta hai ki mere dukh ko to bas bee praak samjhega

Kushal Dauneria

36 likes

baat main sarsari nahin karta aur vazaahat kabhi nahin karta ek hi baat mujh men achchhii hai aur main bas vahii nahin karta mujh...ko kaise mile bhala fursat main koi kaam hi nahin karta aap hi log maar dete hain koi bhi khudkushi nahin karta ek jugnoo hai teri yaadon ka jo kabhi raushni nahin karta

Ammar Iqbal

37 likes

More from Prashant Sitapuri

akelaa hi chala tha main akelaa hi safar men hooñ magar main car aamad hooñ dua men hooñ asar men hooñ khata ho koii mujhse aur logon ko mile mauqa' sambhal kar pair rakhta hooñ zamaane kii nazar men hooñ zehar ke hoobahoo baatein nikalne ka yahii kaaran zehar hi mujh men hai ya to rago pai main zehar men hooñ tu aali hai tune hi rank ko raja banaya hai KHuda tu meri sun le main hamesha se sifar men hooñ kabhi sochho ki main har baat par har baar kyun raaji meri ulfat tujhe khone se dartaa hooñ to dar men hooñ jo achchhe dil ke hain yaaron vahii gumnaam rahte hain main jhoota hooñ farebi hooñ magar jaanaan KHabar men hooñ meraa to khoob man karta ki uske ghar ko jaaun main magar vo ye nahin kahtaa chale aao main ghar men hooñ

Prashant Sitapuri

3 likes

main bura hooñ aur hooñ majboor aadat ke li.e door rahiye aap bhi apni sharaafat ke li.e hai agar mujhse gilaa to aazma ke dekh le tu kahe to jaan haazir hai muhabbat ke li.e tere aage khoobsurat chaand bhi feeka pade aur kya taarif teri yaar soorat ke li.e aadaton se yaar gar taaseer milti hai yahaañ KHud ko bhi barbaad kar loon main bhi aadat ke li.e mar ke hi to aadmi banta badaa hai aaj so ham bhi dekho mar rahe hain thodii izzat ke li.e bewafa hain aap fir bhi dil lagaaya aapse mil rahi hai is li.e bhi daad himmat ke li.e ghar men kuchh bhi bol kar chal jaayega to kaam par bheed men kya bolna hai seekh gairat ke li.e ye shikaayat mujh...ko hai kyun doharaapan hai yahaañ is jahaan men qaayde kyun sirf aurat ke li.e

Prashant Sitapuri

13 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Prashant Sitapuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Prashant Sitapuri's ghazal.