gham se kahii najaat mile chain paa.e ham dil KHoon men nah aa.e to ganga nah aa.e'n ham jannat men jaayen ham ki jahannam men jaayen ham mil jaa.e to kahii na kahii tujh ko paa.e ham jauf-e-falak men KHaak bhi lazzat nahin rahi jee chahta hai teri jafaaen uth aa.e ham dar hai na bhool jaa.e vo saffaaq roz-e-hashr duniya men likhte jaate hain apni khataayen ham mumkin hai ye ki vaade par apne vo aa bhi jaa.e mushkil ye hai ki aap men us vaqt aayen ham naaraz ho KHuda to karen bandagi se KHush maashooq rooth jaa.e to kyunkar manaae ham sar doston ka kaat ke rakhte hain saamne ghairoon se poochte hain qasam kis ki khaayen ham kitna tira mizaaj khushamd-pasand hai kab tak karen KHuda ke li.e iltijaaein ham laalach abas hai dil ka tumhein waqt-e-waapsi ye maal vo nahin ki jise chhod jaayen ham saunpa tumhein KHuda ko chale ham to na-muraad kuchh padh ke bakshna jo kabhi yaad aayen ham soz-e-daroon se apne sharar ban ga.e hain ashk kyun aah-e-sard ko na patinge lagaayen ham ye jaan tum na loge agar aap jaayegius bevafaa ki KHair kahaan tak manaae ham ham-s aa.e jaagte rahe naalon se raat bhar soye hue naseeb ko kyunkar jagaayen ham jalwa dikha raha hai vo aainaa-e-jamaal aati hai ham ko sharm ki kya munh dikhaayen ham maano kaha jafaa na karo tum vafaa ke baa'd aisa na ho ki fer len ulti duaaein ham dushman se milte julte hain khaatir se dosti kya faaeda jo dost ko dushman banaayen ham tu bhoolne ki cheez nahin khoob yaad rakh ai daagh kis tarah tujhe dil se bhulaayen ham
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi
Zubair Ali Tabish
58 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara
Kushal Dauneria
67 likes
More from Dagh Dehlvi
ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii
Dagh Dehlvi
1 likes
raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men
Dagh Dehlvi
1 likes
is ada se vo jafaa karte hain koi jaane ki vafaa karte hain yuñ vafaa ahad-e-wafaa karte hain aap kya kahte hain kya karte hain ham ko chhedoge to pachtayoge hansne waalon se hansa karte hain nama-bar tujh ko saleeqa hi nahin kaam baaton men banaa karte hain cha li.e 'aashiq ka janaaza utha aap baithe hue kya karte hain ye bataata nahin koi mujh ko dil jo aata hai to kya karte hain husn ka haq nahin rehta baaki har ada men vo ada karte hain teer aaKHir badl-e-kaafir hai ham akheer aaj dua karte hain rote hain gair ka rona paharon ye hañsi mujh se hansa karte hain is li.e dil ko laga rakha hai is men mahboob raha karte hain tum miloge na vahaañ bhi ham se hashr se pahle gilaa karte hain jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko kya vo shokhi se haya karte hain us ne ehsaan jata kar ye kaha aap kis munh se gilaa karte hain roz lete hain naya dil dilbar nahin maaloom ye kya karte hain daagh tu dekh to kya hota hai jabr par sabr kiya karte hain
Dagh Dehlvi
5 likes
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya
Dagh Dehlvi
1 likes
is nahin ka koi ilaaj nahin roz kahte hain aap aaj nahin kal jo tha aaj vo mizaaj nahin is talavvun ka kuchh ilaaj nahin aaina dekhte hi itraaye phir ye kya hai agar mizaaj nahin le ke dil rakh lo kaam aayega go abhii tum ko ehtiyaaj nahin ho saken ham mizaaj-daan kyunkar ham ko milta tira mizaaj nahin chup lagii laal-e-jaan-faza ko tire is maseeha ka kuchh ilaaj nahin dil-e-be-muddaa KHuda ne diya ab kisi shay ki ehtiyaaj nahin khote daamon men ye bhi kya thehra dirham-e-'daagh ka rivaaj nahin be-niyaazi ki shaan kahti hai bandagi ki kuchh ehtiyaaj nahin dil-lagi keejie raqeebon se is tarah ka mira mizaaj nahin ishq hai paadshaah-e-aalam-geer garche zaahir men takht-o-taaj nahin dard-e-furqat ki go davaa hai visaal is ke qaabil bhi har mizaaj nahin yaas ne kya bujha diya dil ko ki tadap kaisi ikhtilaaj nahin ham to seerat-pasand 'aashiq hain khoob-roo kya jo khush-mizaj nahin hoor se poochta hooñ jannat men is jagah kya buton ka raaj nahin sabr bhi dil ko daagh de lenge abhii kuchh is ki ehtiyaaj nahin
Dagh Dehlvi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







