ghazalKuch Alfaaz

ghar men bashinde to ik naaz men mar jaate hain aur jo ham-sae hain avaz men mar jaate hain kabk o taus ko chalta hai tu thahra ke to ham teri raftar ke andaz men mar jaate hain muzhda ai yaas ki yaan kunj-e-qafas ke qaidi yak-ba-yak mausam-e-parvaz men mar jaate hain hain tire ramz-e-tabassum ke ada-fahm jo shakhs jumbish-e-laal-e-fusun-saz men mar jaate hain lab hilane nahin paata vo ki ham nadida bas vahin baat ke aghhaz men mar jaate hain tausan-e-naz ko phenke hai vo jis dam sarpat log kya kya na tag-o-taz men mar jaate hain 'mushafi' dasht-e-bala ka safar asan hai kya saikadon basra o shiraz men mar jaate hain ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain aur jo ham-sae hain aawaz mein mar jate hain kabk o taus ko chalta hai tu thahra ke to hum teri raftar ke andaz mein mar jate hain muzhda ai yas ki yan kunj-e-qafas ke qaidi yak-ba-yak mausam-e-parwaz mein mar jate hain hain tere ramz-e-tabassum ke ada-fahm jo shakhs jumbish-e-lal-e-fusun-saz mein mar jate hain lab hilane nahin pata wo ki hum nadida bas wahin baat ke aaghaz mein mar jate hain tausan-e-naz ko phenke hai wo jis dam sarpat log kya kya na tag-o-taz mein mar jate hain 'mushafi' dasht-e-bala ka safar aasan hai kya saikadon basra o shiraaz mein mar jate hain

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mushafi Ghulam Hamdani.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mushafi Ghulam Hamdani's ghazal.