ghazalKuch Alfaaz

ghar se nikle agar ham bahak jaayenge vo gulaabi katore chhalk jaayenge ham ne alfaaz ko aaina kar diya chhapne waale ghazal men chamak jaayenge dushmani ka safar ik qadam do qadam tum bhi thak jaaoge ham bhi thak jaayenge rafta rafta har ik zakham bhar jaayega sab nishaanaat phoolon se dhak jaayenge naam paani pe likhne se kya faaeda likhte likhte tire haath thak jaayenge ye parinde bhi kheton ke mazdoor hain laut ke apne ghar shaam tak jaayenge din men pariyon ki koi kahaanii na sun junglon men musaafir bhatk jaayenge

Related Ghazal

chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi

Zubair Ali Tabish

58 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai

Ali Zaryoun

48 likes

jo bhi izzat ke dar se dar jaa.e mat kare ishq apne ghar jaa.e baat aa jaa.e jab duao par isse behtar hai banda mar jaa.e thodii si aur der saamne rah meri aankhoñ ka pet bhar jaa.e al muhaimin ke ghar bhi khatre hai jaa.e bhi to koi kidhar jaa.e haan aqeeda agar na kaid rakhe phir to insaan kuchh bhi kar jaa.e bebaasi ki ye aakhiri had hai meri aulaad aap par jaa.e uske chehre par aaj udaasi thii haay afkaar alvee mar jaa.e

Afkar Alvi

38 likes

kaii logon se behtar hañs raha hai agar tu apne u uupar hañs raha hai dashanan ke ahem ko todker ke bahut chhota sa bandar hañs raha hai mujhe koii nahin KHat bhejta ab meri chhat ka kabootar hañs raha hai muqaddar par ye mehnat hañs rahi hai ya mehnat par muqaddar hañs raha hai hazaaron gham hain uski zindagi men magar phir bhi sukhnavar hañs raha hai kaha maine ki duniya jeetni haina jaane kyuuñ sikandar hañs raha hai

Tanoj Dadhich

27 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai

Bashir Badr

1 likes

vo chaandni ka badan khushbuon ka saaya hai bahut aziz ha men hai magar paraaya hai utar bhi aao kabhi aasmaañ ke zeene se tumhein KHuda ne hamaare li.e banaya hai kahaan se aayi ye KHushboo ye ghar ki KHushboo hai is ajnabi ke andhere men kaun aaya hai mahak rahi hai zameen chaandni ke phoolon se KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai use kisi ki mohabbat ka e'tibaar nahin use zamaane ne shaayad bahut sataaya hai tamaam umr mira dil usii dhuen men ghuta vo ik charaaghh tha main ne use bujhaaya hai

Bashir Badr

5 likes

patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai

Bashir Badr

1 likes

chamak rahi hai paron men udaan ki KHushboo bula rahi hai bahut aasmaan ki KHushboo bhatk rahi hai puraani dulaaiyaan odhe haveliyon men mire khaandaan ki KHushboo suna ke koi kahaanii ha men sulaati thii duaon jaisi bade paan-daan ki KHushboo daba tha phool koi mez-posh ke neeche garaj rahi thii bahut pechvaan ki KHushboo ajab vaqaar tha sukhe sunhare baalon men udaasiyon ki chamak zard lawn ki KHushboo vo itr-daan sa lahjaa mire buzurgon ka rachi-basi hui urdu zabaan ki KHushboo ghazal ki shaakh pe ik phool khilne vaala hai badan se aane lagii zaafaraan ki KHushboo imaarton ki bulan dii pe koi mausam kya kahaan se aa gaii kacche makaan ki KHushboo gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah pahaadiyon se utarti azaan ki KHushboo

Bashir Badr

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.