guftugu kyuun na karen dida-e-tar se badal laut aae hain sitaron ke safar se badal kya ghhazabnak thi suraj ki barahna shamshir kaale mujrim ki tarah nikle na ghar se badal raat ki kokh koi chand kahan se laae ye zamin banjh hai barse ki na barse badal barf se kahiye ki saughhat kare un ki qubul laae hain aag ke dastane safar se badal main ki huun dhuup ka azad parinda lekin baal kyuun noch rahe hain mire par se badal akhiri khat to likhunga main lahu se khud ko ab bhi mayus jo laute tire dar se badal na kisi jism ka jaadu na ghata gesu ki 'prem' kyuun ruuth gae prem-nagar se badal guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal laut aae hain sitaron ke safar se baadal kya ghazabnak thi suraj ki barahna shamshir kale mujrim ki tarah nikle na ghar se baadal raat ki kokh koi chand kahan se lae ye zamin banjh hai barse ki na barse baadal barf se kahiye ki saughat kare un ki qubul lae hain aag ke dastane safar se baadal main ki hun dhup ka aazad parinda lekin baal kyun noch rahe hain mere par se baadal aakhiri khat to likhunga main lahu se khud ko ab bhi mayus jo laute tere dar se baadal na kisi jism ka jadu na ghata gesu ki 'prem' kyun ruth gae prem-nagar se baadal
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham
Jaun Elia
67 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Prem Warbartani.
Similar Moods
More moods that pair well with Prem Warbartani's ghazal.







